Aamir Hasan Abidi   (✍️ Aamir Hasan Abidi)
488 Followers · 53 Following

Kaun hu'n Kya hu'n Kya nahi hu'n main...
Raaz ye kholta nahi hu'n main.
Joined 20 April 2018


Kaun hu'n Kya hu'n Kya nahi hu'n main...
Raaz ye kholta nahi hu'n main.
Joined 20 April 2018
26 MAY 2022 AT 1:10

Zindagi kyu'n udaas hai mujhse
Tera maqrooz to nahi hu'n main

زندگی کیوں اُداس ہے مُجھ سے
تیرا مقروض تو نہیں ہوں میں

-


25 FEB 2022 AT 18:08

Zulm jab sarhado'n ko kholega
Koi to mere haq mein bolega

-


19 NOV 2021 AT 22:50

لغت کے اعتبار سے دیکھیں تو نقص اور عیب میں فرق نظر نہیں آئے گا۔

لیکن زندگی کے اعتبار سے ہر انسان میں ایک نقص تو ضرور ہوتا ہے لیکن اس سے انسان عیب دار نہیں ہوتا۔

-


9 NOV 2021 AT 16:38

Jab ham aur hamara waqt dono hi khush_haal hote hain. To har taraf bahaar ka mausam nazar aata hai.

Jiski ummeed nahi wo bhi gale milte hain.

Aur jab ham maghmoom hote hain to saya bhi sath nahi rahta.
Jaane anjane log nazarandaaz kar dete hain.

-


27 OCT 2021 AT 19:20

اُن سے ہی بےرخی ملی ہم کو
جن کو ہر رخ سے سراہا ہم نے

Un se hi be_rukhi mili ham ko
Jinko har rukh se saraha ham ne

-


11 JUL 2021 AT 22:12

Kisi insan ki kamyabi mein uski mehnat aur koshisho'n se zyada uske waledain ki qurbaniyo'n Ka hath hota hai.

-


30 JUN 2021 AT 11:33

Adalat ka taqaza hai ke mizan ke dono'n palde barabar ho'n.

Shadi ke baad izdawaji zindagi tabhi kharab hoti hai jab shauhar biwi ki hifazat aur zarurat Ka khayal na Kare ya zauja shauhar se mohabbat aur ita'at ko chhor dey.

-


20 JUN 2021 AT 19:37

Maa'n to bhuki rahi aulaad ko roti dedi
Baap faaqe se tha do roz se maloom nahi

ماں تو بھوکی رہی اولاد کو روٹی دیدی
باپ فاقے سے تھا دو روز سے معلوم نہیں

-


20 JUN 2021 AT 17:55

Apne aibo'n ko chhupate hain ye duniya wale
Meri khaami pe magar sab ki nazar rahti hai

اپنے عیبوں کو چھپاتے ہیں یہ دنیا والے
میری خامی پہ مگر سب کی نظر رہتی ہے

-


20 JUN 2021 AT 13:40

Gar ho aaqil to samajh jaoge
Baap ki daant bhi mohabbat hai

-


Fetching Aamir Hasan Abidi Quotes