Khwahishaat aur imtihanaat ke darmiyaan hum apni zindagi ka ek haseen lamha ji rahe hote hain magar ba.az-auqaat wo sari baaten humein uss waqt samajh nahiñ aatiñ. Aur fir jab zindagi k sare imtihanaat aur mushkilaat ko paar karte huye hum apni manzil ko pahunchte haiñ, toh woh sare manzar humari aankhon ke samne tairte huye nazar aate haiñ. ya yun kahen ki wahi sahi waqt hota hai un baaton, yaadoñ aur lamhoñ ko apne dil-o-zehen mein qaid karke rakhne ke liye. Aur fir dheere dheere woh sare manzar humare sukoon ke lamhoñ ka ek aham hissa ban kar humari muskurahat ka ek zariya ban jate haiñ.
-