Wasim Khan Jamshedpuri   (Wasim Jamshedpuri)
748 Followers · 7 Following

read more
Joined 23 August 2018


read more
Joined 23 August 2018
6 MAY 2022 AT 19:47

तिलमिलाते हैं दुआ से दिल-जले अहबाब में
आज कल आते हैं मेरे ज़ाविये सुरख़ाब में

कौन था जो नाम अपना लिख गया दुश्मन नुमा
साथ इक बे-नूर साया है रह-ए-बेताब में

अब उसी वक़्फ़े में ही आ जाए तो कर लू क़बूल
मौत जो ता'मीर होती एक मेरे ख़्वाब में

ज़िंदगी अपनी है काग़ज़ सा सफ़ीना आश्ना
ऐ ख़ुदा तक़दीर कोई डाल जू-ए-आब में

इस किताब-ए-ज़िंदगी का हम ने देखा है असर
सब हक़ीक़त सब हैं अफ़साने नशे नायाब में

-


19 FEB 2022 AT 21:25

ai kaash ki hotī tum se shanāsā.ī mirī,
Phir nahi maārti mujh ko tanhā.ī mirī.

Doobh kar usme main naa nikal paya,
Thi Itne zayada zaḳhmoñ ki gahrā.ī mirī.

Baat uski mujhe ab samajh mai aai hai,
Bahut der mai uljhī Dor suljhā.ī mirī.

Sb jhoot kah rahe the tarif mai mirī,
Kuch iss tarha bhi hui hai rusvā.ī mirī.

Aane lage hai wo jb hum ja rahe hai,
Hay kitne hai yeh qismat harjā.ī mirī.

Wasim Sisakte dil kī sadā log na sun leñ
zarā aur zor se bajne de shahnā.ī mirī

-


16 FEB 2022 AT 22:11

Jissm churāte hue pehlu meñ samāyā na karo,
Wasl ki dhuup meñ jalne do saayā na karo.
  
ye aur baat ki dil meñ koi aur baat hai magar,
Har baat har kise ko iss dil ki Bataya na karo.

Jalte hai kai charagar bhuj bhuj kar teri ulfat mai,
Jab tak na jaljaye parwana khud ko bujhāyā na karo.

Yeh parinde khud he na jala aaye apna shajar ,
Aise Nafrat ki hawa jangal mai  chalayaā na karo,

Purane zakhmo par tera phokna  aur hawa dena,
Yun dushmano ki tarah dostī  nibhāyā  Na karo

baad mulaqat bahut sambhalne mai waqt lagta hai,
Jane ke liyeh aaya na karo,ajao thu fir jayā na karo.
  
chhupā chhupā ke jo rakha tha chahat ka saman.
Wasim Aise doulat ko sb par luTāyā na karo

-


3 FEB 2022 AT 19:25

Ek daard kī charasazi saeh bhī   nahīñ  sakte  
ye baat kisī charagar se kaeh bhī  nahīñ sakte  

tū apne hisse meñ hai maiñ apne hisse meñ  
Ek ghar ke log ek saath raeh bhī nahīñ sakte  

Iss chaat ki diwareñ aur buniyādeñ hum hai 
kaise bichhaḌ jaa.eñ ki Dheh bhī nahīñ sakte

Bus mai nahi mere dard-o-ghum ke par jana
aur aise halat meñ ruke raeh bhī nahīñ sakte

Wasim khali khali hain piyale soz-o-masti ke
Umbr aise hai ke isme baeh bhī nahīñ sakte

-


17 JAN 2022 AT 19:28

Aandhiyon mai jalta hai, diye kī  jur.at hai 
Khoon ke añndr faqat gairat kī zarūrat hai
 
Na gira lahu zamin par na sar Judah hua   Aashiq-e-mohabbat ye kiski shahādat hai
 
Unki āñkhoñ se unka mai de-daar karu
Be-qarārī hai na koi aur na koi Ujlat hai

'Wasim' ammal nama kiyu le aa gaye tum
Aaj na roz-e-mahshar hai na qayāmat hai

-


1 JAN 2022 AT 19:02

Dil ho agar dil thu āñkhoñ  meñ   dhanak rahe  
ruuh hai roshan thu mitti meñ  chamak rahe  

ek phatinga bhuji hui shama par lahrātā hai  
Bhala khun bataye kisko kise kiski lalak rahe  

Qatl karne kā irāda hai thu phir khayal rahe,
Na teer ki ho kami na nigahon main jhijak rahe

is tarah bahte hue aañsū nahīñ dekkhe jaate
Wasim unke dil ke shakhon meñ lachak rahe

-


26 DEC 2021 AT 22:18

Zindagi ki dhup part 2

Ek mauj-e-hayāt ke jānib chalī thī zindagi  
Ek jū-e-tishnagī -e- sahrā se aa mili
patthar rahā ye jism rañj-e-vafā mai teri
Charag tha mera, kise aur ki thi roshani

mujhko meri shikast zindagi ki mili saza
bichhadNa tha jinse unhe se jā mila
ye kaisī be-hisī hai ke karte nahi koi duā
vaise to 'Wasim' sajde mai girey hai bār-hā

-


24 DEC 2021 AT 9:27

Zindagi kī dhuup part 1

Kuch iss tarha se mujhe tu yaad   aa    
Sapno mai aa na khayalo mai  bulā
Zrah zrah tu aur khak khak mai banā
Iss zrah-e-khak ko ishq-e-hava mai uḌā

Zindagi kī dhuup ne kiye andhere sunahre
Waqt ke saat huye zakhm aur bhi gahre
Na aai koi divālī na maine dekhe dasahre
Waqt ne lagaya hazaro ghamon ke pahre

-


21 DEC 2021 AT 6:22

Zakhm
Sapno meñ ārmaoñ kā zaḳhīra  kiye so jā.eñge,
Hum apne ankhon ko darya kiye so jā.eñge,
Tere baaton kā zahr nasoñ meñ utar na   jaa.e,
Tujh se bina hasraton ka taqāzā kiye so jā.eñge.

Ek din hum  teri mohabbat   se   mukar   jā.eñge,
Koi aur manzil  ke  raahī   haiñ   guzar   jā.eñge,
Abhi bikhre huye  hālāt  hain sañvar   jā.eñge,
Tere saat khun se zinda hain jo mar   jā.eñge,
duniyā  ko apne zakhmo  ka nazrana de kar,
Sochte hai 'wasim' ab khuda ke ghar   jā.eñge.

-


14 DEC 2021 AT 3:13

Wo   baat   wo   fasana   batānā   nahīñ   tha,
Pani   mai   hargiz   aag   lagānā   nahīñ   tha.

Vo   jo   khatm hogaya ek saat rahte rahte,   
Aise ahsaas-e-mohabbat ko bachānā nahi tha.

Jb vo teri suun kar bhi kuch suunta nahi,
Phir Dua mai haath  uThānā  nahīñ  tha. 

Apne   umeed   kā   haath   thāme   nikal   paḌa,   
Behro.n ke shahar mai āvāz  lagānā  nahīñ  tha.

maiñ   unke  har   ek  raaz   ko   jāntā   huuñ, 
Magar 'Wasim' ko abhi parda uThānā  nahīñ tha.

-


Fetching Wasim Khan Jamshedpuri Quotes