Tumhare sath har shubah se lekar sham likhta hun !
Mai apne dil jigar dhadkan me tumhara naam likhta hun !!
Ye katni hai kabhi kat jaegi yun zindagi meri !
Tumhare sath mai har din naya aagaz likhta hun !!
Sukoon mujhko mila tum sab mere jab saath aa baithe !
Tumhare bin akelepan ka har ehsaas likhta hun !!
Ye Din bhar thokarein khakar jab himmat toot jaati hai !
Tumhaare sath ek thandhi suhaani sham likhta hun !!
Mai registan me tapti hui ek rooh jaisa hun !
Tumhaare sath mai baarish ka ab armaan likhta hun !!
Agar mai fansh kahi jaun toofanon me ek kashti sa !
Mujhe bas haanth tum dena yahi ehsaan likhta hun !!
Bhari khudgarziyan shayad mere andar bahut si hon !
Tumhare dil tak jo jaati ho wo mai wo parwaaz likhta hun !!
Khuda mai ho nahi sakta meri chaahat nahi aesi !
Meri duaein us tak bhejne ki chah likhta hun !!
Kabhi chaho to mujhko aazmaana tum is zamaane me !
Tumhaare saath jannat me nya mukaam likhta hun !!
Tumhaare ghum dafan ho jae mujhme hai ye aarzoo meri !
Tumhaare sath mai bas 2 khushi ke jaam likhta hun !!
Tumhaare sath har shubah se lekar sham likhta hun !
Mai apne dil jigar dhadkan me tumhara naam likhta hun!!
-