Tarun Vyas  
84 Followers · 19 Following

Joined 9 March 2017


Joined 9 March 2017
12 NOV 2022 AT 9:58

Meri subah aksar khamosh hoti hai,
Meri raat chikhti chillati aur thak har ke so jati hai.

-


4 NOV 2022 AT 23:52

Masla ye nahi ki mere call par tumhara call waiting aaye.
Had toh tab ho jaye
Jab uske baad humari baat na ho paye

-


17 OCT 2022 AT 4:12

Hum apne andar toofan dabaye baithen hai, ki kahin sailaab na aa jaye,
Aur tum hoke, ek hawa ke jhonke se dar gaye.

-


14 OCT 2022 AT 10:23

Din shuru hota hai Teri awaz se,
Din khtam hota hai tera andaaz se,
Meri zindagi udaas se padi hai,
Ye mehak uthti hai tere aane ke ehasaas se.

-


11 OCT 2022 AT 13:24

Pyaar karo toh aisa karo ki tumhare bare main soch ke unki zindagi Gulzar ho jaye,
Nafrat Karo toh aisi Karo, ki tumhare ek khyaal se unki rooh seham Jaye.

-


3 OCT 2022 AT 22:51

Dekhti Aankhein hai
Dukh Dil ko hota hai
Aur Dimag sun pad jata hai

-


11 SEP 2022 AT 0:08

Jab abke tu aayegi, toh Jane ka waqt mat batana,
Jab abke tu aayegi, toh Jane ka waqt mat batana.
Kuch lamhe mere sath hi thehar Jana.

Janta hun ke ye mumkin nahi hai,
Janta hun ke ye mumkin nahi hai

Par Bina koshish ke tu har mat jana.

-


30 JUL 2022 AT 9:29

Ab aap ko kya samjhen ki hum kis dore se gujre hain,
Ab aap ko kya samjhen ki hum kis dore se gujre hain,

Kabhi hum bhi hua karte the bifkre

Aaj akelpen ke ehsaas se rooh kanp jati hai

-


23 JUL 2022 AT 0:04

Bas itna sa toh khwab hai ki
Jab aankh band ho toh tu samne ho,
Aur jab aankh khule toh Tera muskurata chehra ho.

-


24 MAY 2022 AT 8:59

Khushiyon na apna aashiyan samaj main kyun banaya,

Jabki uski muskurahat kisiki mohtaz nahi thi,

Mana ki gamon ke sagar main doob jate hain log,

Par jab khushiyon ki bari aati hai toh zamane me bharose kyun chod aate hain log,

Janta hun gamon se ghira hua hai tu,

Bas ek awaz toh de, khushiyan darwaze pe khadi hai gum ko bhagne ko.

-


Fetching Tarun Vyas Quotes