Tamseel Aquib   (Tamseel Aquib)
16 Followers · 2 Following

Joined 26 May 2017


Joined 26 May 2017
12 JUL 2021 AT 0:23

Kuch nhi bhoola hun mai
Wo Mess ke uble ande aur placecom ke har roz ke dande
Wo der raat ki maggi, aur hostel me humara ek doggy
Festivals me sabka josh aur parties me adhe log madhosh
Wo sports leagues ki bidding, aur cases ki pre-reading
Wo Neelkesh ka khaana aur 'Tamil Teriyada' bolke kaam chalana
Wo pushpa ka sandwich junction aur cultural committee ke saare function
Chaahe jeete ya haare, par yaad rahenge Sangram ke naare
Kuch nhi bhula hun mai!!

-


11 JUL 2021 AT 18:47

Talaash me thi kisike, wo zariya ban gaya
Thodi guftagu jo ki to raabta ban gaya
hai bilkul begani par apno si woh lagti h
Ho narazgi chaahe kitni bhi, apno ka khyaal wo karti h
uski baaton se phir kisi pe aitbaar karne ko mann karta hai
Har masle ka hal dhundne ki koshish wo karti h,
"Mature" bolti h khudko par rishtedaaro ke taane se wo darrti h
Khamoshi ikhtiyaar kar leti h kuch baaton pe,
Allah ne kuch acha hi likha hoga uske haathon pe!!!

-


12 DEC 2020 AT 0:44

Ek muddat ke baad thodi si fursat mili h
Tujhe dekhun, tujhse guftagu Karun, itni mohlat mili h
Teri zulfon ke chhaaon me zindagi guzar basar ho
Ye jahaan ghoom lun tere sang aur tu mera rahbar ho
Ye arzoo bhi h ki Taa-umr tu mera humsafar ho

-


16 NOV 2020 AT 20:16

Teri aankho se aankhein mili,
Unhe dekh kar dil gulzaar ho
Phir mai unme aise dooba
Jaise share bazaar ho!!

-


17 JUN 2020 AT 3:39

Tumse ishq itna h ki ab rehaai se darr lagta h,
Tumse ishq itna h ki ab judaai se darr lagta h,
Khauf to bht h mujhe par ab tanhaai se darr lagta h
Tumhe chaahun bepanah par tumhari ruswayi se darr lagta h
Tumne samet liya h mujhe par ab bhi apni parchhayi se darr lagta h
Khauf to bht h mujhe par ab rehnumayi se darr lagta h

-


14 JAN 2020 AT 22:41

Waqt guzar jaata h, saal badal jaate hain
Logo ke andaaz badal jaate hain
Par zehan se kuch baat nhi nikalti,
Dooriyaan aa jaati h qki soch nhi milti

Afsos bhi hai tere is haalaat pe,
Par tune hi chuna h isse jazbaat me,
Akela na dekh paaun tujhe, itni teri fikr thi,
Log thak gaye meri baaton se itni teri zikr ki

Mai khush dikhta to hun par hun nhi,
Akela mai rahun to akela hi shi,
Meri har duaaon me tu shaamil rahi,
Par ab wapas laut aaun tu is qaabil nhi.

-


24 NOV 2019 AT 11:45

Tu itni asaani se keh gaya tujhe pyaar nhi mujhse,
Tujhe aitebaar nhi mujhpe,
Ab mera ikhtiyaar nhi tujhpe,

Mai maafi ke kaabil nhi,
In Lehro ke beech tu mera saahil shi,
Mai tere laayak nhi, acho me shaamil nhi,

Tu jahaan bhi ho, khush ho
Is baat ki mujhe fikar hai,
Aur tu mere aas paas ho na ho,
Meri har baat me tera zikar hai.

-


7 NOV 2019 AT 0:52

Tumhari fikar hoti h, tumhara khyaal rehta h
Mai tere kaabil hun bhi ya nhi, ye sawaal rehta h

Tu shi, mai galat, meri soch galat, harkatein galat,
Par jazbaat shi, ehsaas shi, chal ab to palat

Tu alag h na, tujhse jude rehne ko jee karta h
Par tu behtar h mere bina, teri khamoshi se dil darrta h

Teri zindagi ki koi rukawat ban ke kaise jiye
Tu khush rahe ye zyada zaruri h mere liye.

Door khade tujhe hassta dekh lunga
Mai tujhe ab koi shikayat ka mauka nhi dunga

-


31 OCT 2019 AT 1:05

Maine koi bada kaam nhi kiya,
Tera har pal ka haal puchke
Tujhse ummeed jo laga li thi,
Afsos nhi kar raha ab aur
Qki usse sirf takleef badhti h meri
Aur tujhe us baat ka ehsaas bhi h ya nhi
Par jo bhi hua chalo phirse bhul jaaun
koi khushi dhundne me phirse masroof ho jaaun.

-


16 JUL 2019 AT 20:18

The Man Who wore Pants to office,
Is now dawning a casual look,
For he has reached the last page,
Of the final chapter of his professionalism book,
His words used to carry meaning,
His conduct was of honest kind,
Not even once was he late to the office,
And now, in his cubicle, he is hard to find,
Rigidity has been replaced by slackness,
And he has rolled back the years to his teens.
The Man who wore pants to office,
Is now going to work in jeans.

-


Fetching Tamseel Aquib Quotes