Nadi ke kinare baith,
Woh naadan si bachchi
Mukhoto ko rangti gayi
Lal, hara, neela,
Jaisa mann ka bhaav
Waisa rang chadhati gayi
Badhte kadam the uske
Yovan ki orr
Dhalta raha uske komal hriday ka mol
Fir yun hua Ki darr sa lagne laga tha zamane se
Mukhota jo chaha pehen liya
Bacha khud ko haivaano ki ravani se
Apni katha vyatha na jaane kitno ko samjhati gayi,
Khair, Unhi mukhoto ke sahare,
Woh apni zindagani bitati gayi
-