Gar tu rahe, Dil ki har nayaab yaad mitadu mai,
Jo phir tu kanch banna chahe,
Mujhe parvah nahi. . .
Tere sath ke har paher har lamhe ko,
Ha kaid rakkha hai mene,
Ab tu waqt ko bura karaar de ,
Mujhe parvah nahi. . .
Tere kadmo ke sath chale,
un gali un sadako se guzarta hun main,
Jo tu aashiyan naya bana le ,
Mujhe parvah nahi. . .
Har kone ki bheed mein tujhe dekhta hun bas,
Sath hokar bhi tu bheed mein kho jay ,
Mujhe parvah nahi. . .
Main aashiq hun tera, Tere sath hi mitugaa,,
Kahe ghulaam ye zamana ,
Mujhe parvah nahi. . .
-