Be-khudi ki raah me humko mahaarat hai to hai!
Dastaan-e-zindagi me ek sharaarat hai to hai!
Humne to goya nahi dekha abhi tak mo'jiza..
Kaamil-e-taskeen me apni nazaakat hai to hai!
Aap chaahe'n jo kare'n, ho nek ya woh badd amal..
Khaamshi-e-lab sanam apni sharaafat hai to hai!
Gar bure hain hum, bura sara zamaana kyun nahi?
Paarsa rehna agar apni hamaaqat hai to hai!
Aap kya aaye janaab marham lagaane zakhm par?
Aajizi se dard sehna apni aadat hai to hai!
Koi aaye darmiyaa'n; haayal ho ek deewar kyun?
Aah par tanqeed karna apni fitrat hai to hai!
Haq hai jo woh chau taraf dafna diya logo'n ne par..
Haq ko haq se taulna apni sadaaqat hai to hai!
Aarzu-e-dil na pohonchi paya-e-takmeel tak..
Rab se meri aye farishto'n yeh shikaayat hai to hai!
Hai agar yeh jung to kar do Ghazal ae'laan tum..
Mushkilo'n ki raah se apni baghaawat hai to hai!
-