Lafj kitne hi tere pairon se lipte honge
Tune jab aakhiri khat mera jalayaa. hoga
Tune jab phool kitaabon se nikale honge
Dene waala bhi tujhe yaad toh aaya hoga........💔
Teri aankhon ke dariya ka
utarna bhi zaroori tha
Mohabbat bhi zaroori thi, bichadna bhi zaroori tha
Zaroori tha ke hum dono
tawafy arzoo karte
Magar phir arzoo-on ka
bikharna bhi zaroori tha
Teri aankhon ke dariya ka
utarna bhi zaroori tha...........💔
-