Jaisi b hai bdi khas h tu, sach maan ya na maan, mere dil ke itne pass h tu..
Dekhne ko tujhe, kar skta hun kitna b lmba safar main
..Aankhon mein bhr kr rkh lun itna pyara ehsas h tu..
Log khte h mujhe thodA aur talaash kar
shayad mil jaye tujhe koi aur achi
pr kaise btau main unhe, meri talash wali train ka
bda khubsurat aakhiri stop h tu
Mangta hun rab se din raat main tujhko
mera rab b janta h Mere dil ki ek maatr murad h tu
jubaan pr rhna h Tera hi naam hmesha
Mere apno ke bich b bdi mshur insaan h tu
bhul jau saare gam jo muskura de tu
meri hnsi ki duniya mein sirf ek vjh h tu
kho jata hu Teri inn pyari aankhon mei
meri aankhon mein bsne wala ek hasen khwab h tu
-