Kabhi kabhi yeh soch kar dar jati hun mai,
Yeh Jo mere itne bade-bade
sapne hain inhe pure kar paungi mai,
Kya jinhe mujhse ummidein hain,
unki ummidon par khari utar paungi mai.
Har mushkil se ladne ki zidd aisi
Jaise mai Jhansi ki Rani,
Keh toh diya badi asaani se ,
Yeh sab kar sakti hun mai
Par kabhi kabhi yeh soch kar
dar jati hun mai.
-