QUOTES ON #SIFAR

#sifar quotes

Trending | Latest
13 SEP 2017 AT 3:01

Gar hogi mohobbat jo phirse kabhi,
Toh hogi shikayat naa unse kabhi...

Daba lunga sara main shor magar,
Dabegi naa aah mere dilse kabhi...

Jo kehne lage hai deewana mujhe,
Kiya ishq karte the tujhse kabhi...

Kar baithega khudse mohobbat tu tab,
Jab dekhega meri janib se kabhi...

Gar puchhe woh mujhse ke kaisa yeh gham,
Phir kaisa gham puchhe gar mujhse kabhi...

Uska bhi rabt-o-zabt munasib tha par ,
Mila paya nazare naa mujhse kabhi...

Akela tufaan se bacha launga main,
Hai sikha mene bhi tinke se kabhi...

Zara jhaak le tu girebaan "SIFAR",
Mile tujhko fursat jo khudse kabhi...

-


4 SEP 2017 AT 0:00

Hone lage hai mashoor mere bhi misre mujhse bhi zyada,
Darr hai sab yeh na kahe "kisi shayar" ne kya khoob kaha hai...

-


12 SEP 2017 AT 0:02

Badi shiddat se "SIFAR" ek duje pe aitabaar kiya,
Kuch waqt tune barbaad kiya, kuch mene barbaad kiya...

-


6 SEP 2017 AT 18:19

Mujhsa tumko aur koi bhi hansaa paaya hai kya,
Koi mere baad tumse milne bhi aayaa hai kya?

Zikra shaam-e-hijr ka, aankhein na kyun ho jaayein nam,
Mere chehre ke sivaa kuchh aur nazar aayaa hai kya?

Rooth lein ham bhi kabhi, gar faasle ho jaayein kam,
Par raqeebon ko mere pehle manaa paayaa hai kya?

Jaan ki parvaah kise, ham hanske de denge magar,
Ye bata auron ko tune yaar-azmaaya hai kya?

Sab kare hai justuju haasil tujhe karne ki bas,
Kaafiron ko sab mila par ishq mil paayaa hai kya?

Gar mili shamma bhi parvane ko toh kya zindagi,
Dil mile bhi dil se toh lutne se bach paayaa hai kya?

Lo chala hai sochne raah-e-khuda khatre mein hai,
Ban gaya hai tu khuda, insaan bhi ban paayaa hai kya?

Bhool bhi jaau tujhe gar yeh tujhe manzoor ho,
Yeh bata pehle tu mujhko bhi bhoola paayaa hai kya?

Sang tere rakh bhi lun ki kaam aayenge "SIFAR",
Aansuon ke tal pe koi ghar basaa paaya hai kya?

-


17 SEP 2017 AT 3:15

Dava de mujhe ya duva de mujhe,
Mere charagar kyun saza de mujhe...

Mohobbat-mohobbat mein kuch fark rakh,
Mohobbat use toh dagaa de mujhe...

Bujha hun, shola hun, na phir yaad aa,
Jalega tu bhi mat hava de mujhe...

Pare jaa ke khudse tujhko paya par,
Bhatka hun ghar ka ab pata de mujhe...

Nahi tha mohobbat pe gar aitabaar,
Kyun na bichhda tu yeh bata de mujhe...

Kisko garaz hai jannat ki aye khuda,
Unse milne ki bas jagaa de mujhe...

Mujhse kehta hai ab yaad na karo,
Tu hi toh koi ab wajah de mujhe...

Kaunsi mohobbat, ruka hai kyu "SIFAR",
Joothi mohobbat mein qazaa de mujhe...

-


18 SEP 2017 AT 12:33

Pucha kisine kya pyaar hua hai?
Haan khudse ab beshumaar hua hai...

Furqat ke lamhon mein jab bhi muda main,
Ishq use baar baar hua hai...

Dekh tujhe puchhe sab haal mera,
Haal tera aisa yaar hua hai...

Dil ki haqiqat pe aye hasne wale,
Abke tu kyun beqarar hua hai...

Sahil se pucho dooba kaise main ke,
Katra toh har raazdaar hua hai...

Ajaa naya rabta paida kare ki,
Ishq bhi ab karobaar hua hai...

Tune kaha na kisine suna phir,
Kissa kaise akhbaar hua hai...

Jabse bichhad ke "SIFAR" tu gaya hai,
Tabse woh bhi ghazalsaar hua hai...

-


31 AUG 2017 AT 16:41

Gar uthadu sawaal toh shayad tujhe kho du,
Tujhe paa kar bhi aksar yun tanha raha hu main...

-


29 SEP 2017 AT 12:13

Ishq na raha toh yeh malaal kaisa,
Tu nahi toh phir tera khayaal kaisa...

Baat na badhi jab mila tha tu mujhe,
Rabt na raha phir ab bavaal kaisa...

Mehefilon ki roshni mein tu hi tu hai phir,
Ab tere vajood pe savaal kaisa...

Sab tere deewane ab huve sheher mein,
Warna maikado mein yeh jamaal kaisa...

Beqarar kar ke khud huva hai beqarar,
Aye khuda yeh ho gaya kamaal kaisa...

Puchhta phire hai doston se mera haal,
Kar liya hai tune tera haal kaisa...

Kya suni khuda ne aashiqon ki "SIFAR"?
Dekh aasmaan huva hai laal kaisa...

-


8 OCT 2017 AT 12:33

Jo mil mila, mila nahi,
Uss ishq ka gila nahi...

Iss dil ka bhi ab kya karu,
Jo jal jalaa bujha nahi...

Ek urma bhi gayi guzar,
Yeh chaak-e-dil sila nahi...

Jannat mili kaafir ko par,
Bas tu mujhe mila nahi...

Tere liye khamosh hun,
Warna kabhi daraa nahi...

Hai haqiqat aur saaqi,
Mai pe mai yun pila nahi...

Usko pukaaru kyun "SIFAR",
Jo zid hi zid hila nahi...

-


26 SEP 2017 AT 14:46

Zakhm hi toh hai ke numaish kyun karu,
Tu nahi ilaaj toh khwahish kyun karu...

Ek nahi kafir hi mehroom aye khuda,
Bande bhi pareshan toh parastish kyun karu...

Muddaton mein jiska chamka na sitaara,
Uska hi asaman hu toh gardish kyun karu...

Aaj keh dunga rusavai ka sabab,
Karna bayan hai sach toh larzish kyun karu...

Puchh na raqeeb jalave janaab ke,
Baat hai bigadi toh sifarish kyu karu...

Dekhta hai yun ke koi baat hai "SIFAR",
Rabt woh badhaye toh koshish kyu karu...

-