Aajkal qudrati nazarein kuch badal si gyi hain,
Dhuaa dhuaa sa chaya hain,baag kuch bikhad si gyi hain...
Woh taazi hawayein,woh taskeen nazarein,
Khwaab mein bhi aati hain woh tezabi baarishein...
Zaroorat badhti gyi humari,darakht katte gye hum saari,
Azr karte gye,aur karte rahe yeh riwaaz jaari...
Qudrat toh khuda ka diya tohfa hain...
Tohfe ka yuh bar bar qeemat na lagaya kar!!
-