Galatiyon se juda tu bhi nahi, mai
bhi nahi,
dono insaan hain, khuda tu bhi
nahi, mai bhi nahi … !
” tu mujhe or mai tujhe ilzaam dete
hain magar,
apne andar jhankta tu bhi nahi, mai
bhi nahi ” … !!
” galat fahmiyon ne kar di dono mai
paida dooriyan,
warna fitrat ka bura tu bhi nahi,
mai bhi nahi ” … !!!
apne apne raston pe dono ka safar
jaari raha,
ek lamhe ko ruka tu bhi nahi, mai
bhi nahi … !!!!
” chahte dono bohut ek doosre ko
hain magar,
ye haqiqat maanta tu bhi nahi, mai
bhi nahi ” …
-