Udaash hone ki bahut wajah hai ,
Magar ab wo khush raha karti hai !!
Udaashi ke bawjood bhi sabke beech rahke sabko hasaa liya karti hai ,
Mahfill ke anushar khudki manodasha bana liya karti hai ,
Apne chehre pe ek aur chehra laga liya karti hai !!
Wo jo nirbhed thi , nirakar thi , befikri malang hua karti karti thi ,
Ab wo bhi sabki parakh kar liya karti hai !!!
Sabke beech khudko sabki tarah bata liya karti hai ,
Apne chehre pe ek aur chehra laga liya karti hai !!
Ushme koi burai nahi hai ,
Wo to nurr hai bekashoor hai ,
Shantimayi pavitra nipurna hai ,
Phir bhi har baat pe khudko hi gunehgaar baata liya karti hai ,
Apne chehre pe ek aur chehra laga liya karti hai !!!!
-