Meri maa
Manti hu sari baat,
fir kyu naraz ho jati ho,
kabhi chila deti ho,
kabhi mana leti ho,
kabhi pyaar barsa deti ho,
toh kabhi apne se door kar leti ho,
kabhi kehti ho ki meri ladli beti,
toh kabhi daat kar keh deti ho "meri qismat kharab jo mili aisi beti",
kabhi sabke samne sur ucha kar badaiya karti ho,
toh kabhi sabke samne meri buraiya karti ho,
bhai kitna bhi mar le roka nahi karti ho,
me hath utha du toh chilaya karti ho,
"ulta jawab suna pasand nahi" ap yeh kaha karti ho,
agar galati se bhi de du toh ankhe dikhaya karti ho,
rang badalne wala toh hai nahi mera magar koshishe hazar karti ho,
ye lagale woh lagale bas kaha karti ho,
bas mujhe thoda kam samjhti ho,
magar aap mujhe aisi hi achi lagti ho...
-