Uski baatein ko bas sunte jana...
Uske chehre ka har waqt muskurana...
Na jane kaise itna kareeb aana...
Or uske kareeb hoke dilo ka sukoon pana....
Yeh sapna hai ya hai ye hakeekat,
Mano mausham ka achanak badal jana...
Sabse duriya bana ke, par mujhe apne pass bulana....
Itni raato ko joro se hasa kar,phir use control karana....
Bilkul chhoti bachhi si hai uski aadatein...
Nind na aane par thapki dilana,mere na sone par jabardasti sulana....
Ek pal mein apne saare raaj batana...
Ya mujhe bike par bitha pura shehar ghumana ....
-