Intezaar aaj bhi mujhe tumhara hi hai bas ab batana chhor diya hai,
Dil tuta hua hai mera bas ab dikhana chhor diya hai,
Khaas to tum hamesha se hi ho mere liye bas ab tumhe yeh ehsaas dilana chhor diya hai,
Yaad to bahut aati hai tumhari bas ab har kisi se tumhare baare me pata karna chhor diya hai,
Intezaar aaj bhi hai tumhare aane ka mujhe bas ab mene yeh tum par chhor diya hai,
Dard bahut hai mujhe tumhara mujhse dur chale jane ka bas ab dil ko tumhare aane ka dilasa dena chhor diya hai,
Jindagi ruk to nahi gayi tumhare jane ke baad lekin haa ab aapna gham har kisi ko batana chhor diya hai,
Ab baate to nahi ho paati tumse lekin marta aaj bhi hu tum par bas ab tumko ye batana chhor diya hai..!!
-