"Aag" ke lapton me kabhi jhulasti hamari jindgi, kabhi jalti to kabhi bujhti hamari jindgi, kabhi ghor andhkaar to kabhi tej prakash hamari jindagi, kabhi kahi,to kabhi ankahi hamari jindgi, sansar ki jaddojehad hamari jindagi, hasati, aur rulati hamari jindagi, suskta, kabhi barfani hamari jindagi, patjhad to kabhi basant si suhani hamari jindagi, gudgudati kabhi, gam k wish pilati hamari jindagi, ashaon, nirashaon me aksar hame parakhti hamari jindagi, najane kaha le k jaye hamari jindagi, k kabhi mout to kabhi jeevan hamari jindagi, najane kisne? Aur kaise? Kis syahi se likhi hamari jindagi? Kabhi bheed me to kabhi tanhai me virani hamari jindagi, najane kaise aur kis syahi se kudrat ne likh di hamari jindagi!! Kabhi dhup to kabhi thndi chavn hamari jindgi, kabhi, hamrah to kabhi bepnah hamari jindgi, kisi se sikhti, kuch to kuch sikhati hamari jindgi, kabhi vertmaan k lamhon to kabhi atit k saye se jhakti hamari jindgi, kabhi meethe khwab to kabhi kabhi kadwe yaad hamari jindgi, najane kaise kis syahi se likhi meri jindagi!
-