Lamaha-Lamha meri zindagi ka guzar raha hai
Ek chiraagh mujhe kuch pal ke liye roshan kar raha hai
Khayalo mein aksar mulakatein ho jaati hai
Nafrato se dekhti hai par tabiyat khush kar jaati hai
Nazaron mein bade kaayde se tumhe chupha kar rakha hai
Kisi nazar ko pata na chale ki kanoon-E-ishq tumne toda hai
Shamma se nafrat karne ka ab mann nahi karta hai
Shamma mein jalna parwaane ko ab achha lagta hai
Chaand ki chaandni dil ke aashiyane mein aati bahot kam hai
Khuda ki khudaii mein daag dhoodne ke liye waqt bahot kam hai
Us zulf-E-zuleyka ki yaad mein ulajhna achha lagta hai
Dophar ki chaav thi wo, bhoolte hue bhi darr jo lagta hai
Na gumnaam hai ye ishq na ye badnaam hai
Hasrataon mein unki abhi to ye dheere-dheere jawan ho raha hai
Lamaha-Lamha meri zindagi ka guzar raha hai
Ek chiraagh mujhe kuch pal ke liye roshan kar raha hai
-