Jab na kuchh pane ki khushi thi, Na Khone ka gum tha,
jab rate lgti lambi, Aur din ka ujala lgta km tha,
bato me sbke hi sachchai hoti thi, tb na kisi se nafrt na koi bharam tha,
mauj Masti hi jb jindgi ka phla dharam tha,masumiyt thi chehre pe dil me v bholapan tha,
Kya koi Lauta skta hai wo bachpan mera,kpdo ke tukdo Se bna wo aalisan ghar mera, jaha sukun tha,
Luka chhupi khelte khamoshi me v ek alag sa junun tha,
Raja, Rani Chor ,sipahi bina jhagde khtm ni hota tha, bhai bahno ki Ldai me jb koi n koi har roj rota tha,
Jb khel ka leader har roj badlta tha,chhoto ko jb Na chah ke v sunna pdta tha,
Phir dhire dhire durio ne apni jagah bna li,
bachpan ki nadaniyo ko hata jimmedario ne Kamar Kas Dali,
ab to chhuttiyo ka v intezar ni rhta,
yaad sbhi ko sb aata hai par baat karne ka khyal ni rhta,
jinke sahare bachpan bita hai,aaj wo kis hal me rhte hain,
status dikhta hai bs par ab Janne ka kuchh malal ni rhta,
Kya koi Lauta skta hai mujhe wo pal,jise hum bachpan Kahte hain, jaha koi Itna v gair-jimmedar ni hota.
-