Kitna badal gaya vo.
Kya socha tha, kya ho gaya vo...
Kabhi inhi aankhon me, unka chehra nazar aata tha,
Aaj inn aankhon me bas nafrat nazar aati hai.
Kabhi unse nazre mila kar, dil KO sukoon milta tha,
Aaj unhe dekh kar khoon khaul jata hai.
Kabhi unki baatein hasaya karti thi hume,
Aaj unki aawaz kano me chubhti hai.
Kabhi apne naam ko, unke naam ke sath joda karte the hum.
Aaj ussi naam KO dil se mitana chahte hai hum.
-