Tumne kaha ki woh to ladki hai
woh kya khaak samjhegi
panchvi tak jo padhi hai..
Kaam kaj se fursat mile jab v,
Tumne kaha ki bhai samajik dayitva v to nivana hai!
Tumne kaha Verma Ji badi vul kar rahe hai
Beti jo unki avi tak kumari hai!
Beti hi to hai, padhai k naam pe
Ghar ke kaam kaj se kab tak dur rakhenge?
Ab meri v sunn lijiye
Ha main beti hoon fir v meri v ek prashna hai,
Samajik dayitva k naam p aakhir kab tak
Niji zindagi k dairo ko langhan karenge?
-Rituparna Chatterjee
-