QUOTES ON #SUMAIYARIAZ

#sumaiyariaz quotes

Trending | Latest
1 OCT 2019 AT 16:54

Chand sher hain mere pass kuch rubaayi hai,
Tere baad kuch nahi bass tanhaayi hai.

Koshish ki ke bhool jau tujhe, Na kabhie aayegi
na kabhie yaado'n ko maut aayi hai.

Chodh aaye they woh ghar
hai jiski deewaar pe tasveerein teri,
Aaj usi jagaah zid mein maine
mehfil rakhwaayi hai.

Mera dil hai ki sarzamee'n
banjar hai jiski,
Mere dil pe dava'am
khazaa'n Chhaayi hai.

-


26 OCT 2019 AT 2:29

Wo judaa hua lekar mera
wajood apne sath,
Jism beyjaan sa hua uske
chale jaane ke baad.

Jaag kar unke khayaalo'n ka
zulm seh letein hain hum,
Bohot dar lagne laga ab neend sey,
Kuch khwaab toot jaane ke baad.

Woh beech mein hi utar gaya jo
humsafar hua karta tha,
Sirf hum rahe or safar hi raha uske
peechhey chhoot jaane ke baad.

Is tarah sey wo rootha ki
phir maana hi nahin,
Bohot yaad aata hai uska muskurana
thoda gussa dikhaane ke baad.

Wo judaa hua lekar mera
wajood apne sath,
Jism beyjaan sa hua uske
chale jaane ke baad.

-


31 JUL 2019 AT 0:42

Apni mohobbat ko wo
anjaam de doon,
Apne hunar ko main tera
naam de doon.

Aazaad kar doon gumo'n
ke pinjre se,
Tujhe tera khud ka
aasmaan de doon.

Maang loon tujhse teri
duniyaa main,
Tujhko apni subha-shaam
de doon.

Door kar doon udaasi teri,
Tujhe apne Chehre ki
muskaan de doon.

Mere naam karde har takleef apni,
Tujhko main apne aish-o-araam
de doon.

Mil jaaye zamaane ko ek
misaal nayi,
Aelaan -E- mohabbat
sar-E-aam de doon.


-


5 AUG 2019 AT 14:20

Full piece in the caption.

-


24 NOV 2019 AT 0:20

• • •
Woh jism se khel ke rooh ko Choor kartey hain,
Yoon ishq ke naam pey lutney ko majboor karte hain.

Ye naam ke aashiq faqat hawas samajhtey hain,
Laake kareeb phir khud hi se door kartey hain.
• • •

-


8 OCT 2019 AT 14:59

• • •

Humne khudko hamesha tanha paaya,
Tujhko paa ke bhi kabhie na paaya.

Jab mujhko tamanna hui sukoon-e-qalb ki,
Band aankh'on mein tera chehra paaya.

Pee jaatein hai log kayi jaam sharab ke,
Tere Kaasa-e-chashm mein poora maiqada paaya.

Yeh zaalim duniyaa hai sirf khud se garz rakhti hai,
In be-wafa logon mein faqat tumko ba-wafa paaya.

Koshish ki ke Khayaalo'n sey tum utar jao,
Har baat pe teri yaad ne aane ka bahaana paaya.

Muqaddar tha ke mera jism kisi or ka ho gaya lekin,
Apni rooh ko hamesha sirf tera paaya.

Hogaye sabke hast-o-buud tabah,
Ke ishq karke kab kisne munaafaa paaya.

• • •

-


19 NOV 2019 AT 12:52

Be- matlab ke ulfat ke rishtey ka
humnein bharam tod diya,
Usne humko rihaa kiya aur
humnein sanam Chhod diyaa.

Manzil tak sath Chalney ka,
waada tha jo milney ka,
usne waada tod diya,
humne bhi rukh mod liya.

Uski mohobbat mein,
sab kuch apna luta diya,
Khud ko toh hum bhool Chuke,
usko bhi ab bhula diya.

Kuch tasveerein paas thi mere,
Unko humnein jala diya,
Yaadein jo baaki thi dil mein,
Usii dhuein mein udaa diya.



-


4 MAY 2019 AT 0:58

Hum tumko dhoondnein mein
zaraa mashghool ho gaye.

Karte rahein hifz har ek harf tera,
anjaam yeh ki Khud ek bhool ho gaye.

Mausam ke mutabiq dhalte chale gaye,
Qatra hue kabhie toh kabhie dhool hogaye.

Safar ye musalsal tanha hi raha,
Khud hogaye andhera khud
hi noor hogaye.

Yoon toh apne chehre ke qayl nahin the hum,
Teri nazro'n se khud ko dekhaa toh hoor hogaye.

Chhupi hui thi shakhsiyat
saat pardo me humari,
Tumse aa mile toh mash-hoor hogaye.

-


14 NOV 2019 AT 0:06

Ishq ke manzar aise hi nahin
bhulaaya kartey,
Apno se yoon ashk nahin
Chhupaaya kartey.

Naraazgii door ho sakti
hai mohobbat se bhi,
Yoon har baat pey khanjar
nahin uthaaya kartey.

Ummeed-E-wafa har kisi se
nahin lagaaya kartey,
Sab log wafadaari se rishtey
nahin nibhaaya kartey.

Har shaks liye baitha hai
yaha muthhi mein namak,
Apne zakhmo'n ko sar-E-mehfil
nahin dikhaaya kartey.



-


12 DEC 2019 AT 8:45


• •
• • •

Dard-E-dil ki ab dawaa ki jaaye,
Tere gunaaho'n ki tujhey saza di jaaye.


Khuda karey ki tujhe ishq ho, aur beyhadh ho,
Isse bad'ttar aur kyaa badd'uaa di jaaye.


Apni takleefein bhi bayaan ki jaayein,
Teri yaadein ab dhuaa'n ki jaayein.


Maana yeh fitrat toh bass tumhari hai,
Magar kyun na tumhare sath bhi jaf'aa ki jaaye.

• • •
• •

-