Itna asaan hai kya
Ghar ki akeli beti hona
Sabki rok tok ko chupchap sehna
Apni marzi ko chod sabki sunna
Jo sab kahe chupchap karna
Har waqt sabke sath rehna
Itna asaan hai kya
Ghar ki akeli beti hona
Papa se kuch keh na pana
Mummy ke sang kaam karana
Bhai ko sabki daant se bachana
Behen ki kami hamesha satana
Itna asaan hai kya
Ghar ki akeli beti hona
Dadi ke per dabana , unki dawai ka dyan dilana
Chacha chachi tai tau sabke kaam chutakiyo me niptana
Fhir bhabhi sang gappe ladana
Itne bhaiyo ki behen banna
Un sab se ladna , un sabki sunna
Itna asaan hai kya
Ghar ki akeli beti hona
Buao ke sang bazar jana
Unke jate samay paani pilana
Akeli ladki hone ka rob jamana
Or fhir Sabse paise nikalwana
Itna asaan hai kya
Ghar ki akeli ladki hona
Sabko hasana sabka dil behlana
Sari zimmedario ko khoob nibhana
Fhir ek din ghar chod ke jana
Kisi or ke ghar ko apna banana
Sabko rota chod ke jana
Akeli beti se mehman ho jana
Jab man kare tab aa na pana
Or jo aa jau toh do teen din Ruk fhir wapas jana
Itna asaan hai kya
Ghar ki akeli beti hona
-