QUOTES ON #JULYDAY16

#julyday16 quotes

Trending | Latest
16 JUL 2017 AT 17:34

Drink poison
So that you may know
How nectar tastes

-


16 JUL 2017 AT 15:29


You are the oasis
I wish to drink from
But I stand afar and see you
For you are a mirage
A vision of my desire
My thirst is quenched
No rain
And yet, I'm drenched

-


17 JUL 2017 AT 16:02

Baarish ki neeyat kuch theek nahi
Bina baat koi yun barasta nahi
Ghar baithe hi kahi le jaati hai mujhe
Wahan jahan maine kaha tha tujhe
Ke kyu na bheeg jaayen hum iss mausam mein
Beh jaayen inn baarishon ke paani mein
Dhul jaaye tan, mann aur rooh
Mere haathon mein apna haath thamaa tu
Aur chal mere sang bheegi hui raahon par
Ya fir udd chal baadlon ko banake parr
Naa rahe fark zameen aur aasmaan mein
Pighal jaayen inn boondon ki aag mein
Jhatak kar mera haath tumne kaha
Behtar hai sambhal jaayen yahaa
Kyunki
Baarish ki neeyat kuch theek nahi
Bina baat koi yun barasta nahi.

-


16 JUL 2017 AT 8:46

Karz lena aasaan, chukaana mushkil
Rishte banane aasaan, tikaane mushkil
Pyaar karna aasaan, nibhaana mushkil
Makaan banana aasaan, ghar banana mushkil
Cheezen fenkna aasaan, sambhaalna mushkil
Ped kaatna aasaan, ugaana mushkil
Khana khaana aasaan, pachaana mushkil
Jhooth kehna aasaan, sach kehna mushkil
Safar karna aasaan, manzilen paana mushkil
Faisley karna aasaan, mumkin karna mushkil
Haq jatana aasaan, farz nibhaana mushkil
Zindagi marnaa aasaan, zindagi jeena mushkil
Mushkilen gin na aasaan, suljhaana mushkil

-