Tujhe dekha aur bas tujhe chaha Ke fir na koi faisla kiya,,
Teri ankho me hi dub gaya mera har lamha fir na kisi se koi rabta kiya,,
Teri ahat se guzar ayi thi jo khusboo mujh tak,
Ho gye khaaq na us khusboo ko fir khudse juda kiya,,
Yun Shama -e- haal jo har shab h beeti mujh per,
Kasam teri humne bhi kabhi usse na fir Kazaa kiya,,
Dastan -e- Mohabbat ho ya Raaz -e- vasl ko,
Na kisi se kaha faqat yuhi Sar jhuka kar Adaa kiya,,
Jo lauta tha khali hath us din teri gali se me,
Mohabbat aj bhi hai lekin na fir us gali ka kabhi rasta kiya,,
-