Na koshish : Na dhundne ki kashish..
Phir bhi ye hawa kahe ki haq ha mujhe -
Tere intezaar ka..
Ye batuni kitabein ; aur be-mausam barish..
Kahe ke, jalti huin mein..
Apne betabi se, jo khud jale har barish mein..
Mohlat kahe mein waqt ki karzdaar huin,
Waqt puche kya mein himat ki haqdaar huin?
Ab ye aankein; na hi aansun, chahe tujhe,
Kahin sayad khus ha tu bhul ke mujhe..
Patthar dil se, Faasla ka faisla jo kiya tune,
Dillagi ke bazaar me, dil ko mehenga kiya maine..
Intezaar ne mohlat ka jo waqt chura liya,
Mere khuddari ne har khidki hai band kiya..
Chod diya har raah maine,
Phir bhi kahun - Tu na jaa...
Pardein jo marzi se band hue,
Marzi kahe - Ab tu na aa.... Ab tu na aa....
-