Afsos ,tujhe yaad na karne ka tha mera irada,
Ek shyam mehfil mein chad gyi thodi zyada.
Sukoon tha khamoshi mein jin pallo mein aya tera khyal,
Udhed kar jazbaato ko khud rafo kar rahi thi apna haal.
Meri kavitao ki gherai mein tu, uplabdi ki chadai mein tu,
Masrufiyat k khayal mein tu ,uljhan k haar sawal mein tu,
Haan mana zindagi ki udaan mein hum dono ab sath nahi,
Sach kahu ab us nukud wali chai mein bi vo baat nahi.
Sun,kabhi bhedh mein takra jae toh milne ko rahugi mein betab.
Teri khairiat ki taufik mang ,waqt par sab chod diye hai sab hisaab.
Fir kya,subha yaado ki peti bandkar phuch gyi Pir k mazar,
Khol aai manaat k daghe aur rakh aai sawal ,kuch hazar.
-