Mar chuka hu, par zinda hu mein
Ek do ghoont ya kash chahiye.
Bolte ho aap aaram mein raho,
Aaram mein hu bs tumhara saath chahiye.-
Khushiyan jara tum hi thahar jao,
Gam ko abhi sabr kaha hai.
Siddharth Jain-
Aaja mein tujhe likh deta hu
Likhkar kahi rakhleta hu
Kitaab mein kahaniya kahi hein
Mein tujhe shabd-shabd kar deta hu
Aaja mai tujhe likh deta hu
Tere mulayam haaton ka sparsh
Mere kalam mai jhalakta hai
Choone de tere mohbbat ka kajra
Mein tujhe mere mohabbat likh deta hu
Aaja mein tujhe likh deta hu
Mehsoos kar tere rooh ko
Tera jism kagaz kar
Mein tujhe puri kitaab kar deta hu
Aaja mein tujhe likh deta hu.
SIDDHARTH JAIN
~badwriter__-
Jab koi umeed laga kar betha hota hai
Mud kar toh dekh,
ek shaqs hanesha betha hota hai.-
Abb aur mat likhwao mujhse
Mujhe shikayatein sabse bhot hai
Tum sabse pehle mujhe
Khudse narazgi bhot hai.
Tum laana waqt kabhi tofe mai,
Mai bhi zindagi lekar aunga
Tum padhna mujhe ek ghadi tak,
Mai sukkon se sununga tumhe.
~Siddharth Jain-
Nazuk se rishte the jo humse sambhale nai gaye,
Pathar ke bane the hum
Hum kaanch se kaate gaye
Khamoshi se sab dekhta zaa raha tha
Sansein toh chal rahi thi,
Nabz tatoli yaadon ki tab pta chala,
Shayad dil ki bimari thi.
Naa kaho mujhse likhne ko zindagi ki khoobsurti,
Zindagi mai hamare,
Zindagi ko lekar tazurba kharaab hai.
~Siddharth Jain-
Bhot “naram lehza”hai mere kalam ka
Abb haaton mein “gulaab” rakhta hu.-