Saawan ka mahina
Chamakte huye tere naina
Dooba tha unme, dar tha,
Dekte dekte, kaheen beeth na jaaaye raina.
Aaane waaale 24 saaal uske saaath kaise bitaane the, woh toh soch liya tha,
Teh tha Kaha jana hai, aur waha jaaane ka raaasta
Par aaj jab bas 24 ghante hai uske paaas, toh samaj nahi aaraha ki karu toh kya karoon?
Hamare iss kitab ka aakhri panna, kaise bharoon?
Har boondh jo dikhi Baarish ki
Unse sirf ek hi Guzarish ki
Jaaake bol do baadalon se ki,
Suraj ko kal dikhne math dena,
Abhi Usko aur bhi hai Hasaana!
Jo Aaane waaale sari khushiyon ke din the, unko Aaj hi hai manaana.
Abhi toh hai Usko Carrom me phir ek baar Haraaana.
Bachon ki tarah, ek dusre ko aasman ki oonchaeee tak jhula jhulaana.
Fanta me ketchup milaaake usse pilaaana.
Sataaana, rootke, manaana.
Nachwaaana, puraaane gaaane gaa ke pataaana.
Jee bhar ke pyaaar jataaana.
Tumhaara yeh aakhri safar aaasan karna.
Aankhon me aansoo ke bina,
Tumhe haste haste alvida kehna
Jab bhi beet jaaaye yeh Raina!
-