Kehta tha “Roo mat pagal tere rone se mujhe takleef hoti hai”
Or vahi Saksh Ruh tak rula Gaya-
Essa Har roz nhi hota ki Unhe hum dekh sake
Essa Har roz nhi hota ki vo mere bahoin Mei so sake
Isiliye jee bhar k jeena chahti hu inn lamho ko
Q ki yeh waqt hai isse hum rok nhi sakte-
Kuch toh hum bhi likh lete h Teri yaad Mei
Par iss khayal se Dar jaate h ki hum nahi h Teri yaad Mei-
Kuch tum keh dena
Kuch meh keh dungi
Zindagi k safar Mei Thora saath de dena
Pad jaaye kamzor agar kabhi toh bass Apna pyaar de dena-
Suno Mei bulaungi toh aaoge kya
Kuch pal mera haath pakad kar rukoge Kya
Kuch kahu toh Meri aankhoin Mei dekh kar sunoge Kya
Roo padi agar Aakhein toh gale lagaoge kya
Poori zindagi na sahi par Kuch pal saath chaloge kya-
Ek vo waqt tha jab unki aavaj sune bina din shuru Nahi hota tha
Ek yeh waqt hai, jaha unke intezaar Mei din chala Jata hai
Ek vo waqt tha jinhe hum haq se pareshaan kar skte the
Ek yeh waqt hai, jaha vo humse pareshaan hai-
Kesi khamoshi cha gyi hai
Abh bass vo baatein yaad si reh gyi hai
Lavjo Mei Kuch baya nahi kar paaye
Toh Ishq Mei koi khata ho gyi hai-
Remember “only you have to collect your own broken pieces into one”
-
Usne kitni aasani se Bina Kuch kahe muh fer liya
Or Hum unke palatne ka intezaar karte rahe
Na vo plata na usne Kuch bola
Or hum unhi ke intezaar Mei tadapte rahe-