Rani SINGH   (Rani)
642 Followers · 7 Following

Passionate
Creative
Learner
Joined 11 April 2018


Passionate
Creative
Learner
Joined 11 April 2018
23 SEP 2019 AT 21:43



ये जो तुम
अनजाने , आवारा , बेगाने
से फिर रहे हो
लगता है इशक मे,नए-नए पडे हो

ये जो तुमहारी आखे नशीली हो गयी है
कुछ मत कहो, हम जानते है
तुमहारी नींदे उड चुकी है.....!!!

-


15 SEP 2019 AT 14:46

Suno
Tumne toh kaha tha ki tum mujhse pyaar karte ho
Par yeh kaha aakar khadi ho gayi hu mai,jaha har roz tumhe bhulne ki koshish mai lag chuki hai
Tumhari yaad aati hai toh phle ki tarah tumse ab baat nahi kar paati
Apne aap ko kahi mashruf karne mai lag jaati hu,ki kahi tumhari yaad meri bechaini na badha de or mera sambhalna kahi mushkil na ho jaye
Tum toh pyaar karte the na ,vaade bhi kiye the mujhse
Aasan tha mujhe bhulana
Na galti se haal puchte ho
Kaise neend aa jati hai aaj kal
Phle toh meri awaz bina sune tum reh nhi paate the,par ab toh shayad meri awaz bhi bhul hi gaye hoge tum
Kaisa pyaar tha yeah
Jisne mujhe aaj har roz khud ko khone par majbur kar dia hai
Na khul kar has sakti hu,Na khul kar ro sakti hu
Samjh nahi aata ,Galti kiski hai
Maine sawal nahi kia ,or tumne kuch kaha bhi nahi
Pyaar karte the na mujhse tum
Mujhe jeene ki aadat nhi thi tumhare bina
Par ab har roz mar -mar ke jeeti hu
Kaha ho tum
Kabhi vaapas aaoge kya
Tum toh pyaar karte the na mujhse....

-


28 AUG 2019 AT 1:03

कभी रिश्ते ने बेइज्जत किया है?

-


26 AUG 2019 AT 0:04

Mai hawaon ki tarah
Manchali
Banna chahti Hu
Ek waqt ke baad bahut thak gai hu aaj
Ho sake toh
Aaj khud se milna chahti hu

Black or White ko chodkar
Colourful choices rakhna chahti hu
Vaise toh padti nhi daleelo mai
Par feminism ki daleelo mai
Padna chahti hu
Nazar andaaz karti Hu jis bheed ko
Us bheed Mai thoda sa shor
Karna chahti hu
Zada Kuch mangti nhi hu mai
Bas khud se milna chahti hu

Ek sukoon, ek safar khud ke saath
Khud ke liye mai ek manzil
Banna chahti hu
Hairat ki nazar se roz dekhti Hu khudko
Ek din mai bhi sawar ke rehna chahti hu

Khwaishon ka pitaara ho saath
Zindagi mai pade masale ka
Swaad chakhna chahti hu
Kuch zada nhi mangti Hu mai
Bas ek baar khud se milna chahti hu!!

-


28 JUL 2019 AT 22:11

Baithi Bahut Tere intezar mai
Ki laga tum vapas aa rahe ho
Yeh kaisi aadat hai tumhari mujhe
Jane kyun Aaj bahut yaad aa rahe ho



-


22 JUL 2019 AT 23:34

Koi kab yaad karta hai
Or
Koi kab saath nibhata hai
In dono mai jo fark hai
Usne bahut Kuch sikhaya hai

-


20 JUL 2019 AT 0:27

Tum apne nahi the
Toh apne se kyun lage
Tum saathi nahi the
Toh itni dur tak kyun chale
Tum kinnare the agar
Toh kyun takraaye mujhse
Tum apne nahi the
Toh apne se kyun lage

Tumhe fikr nhi thi meri
Toh mera zikr kyun karte ho
Tum aaina nahi the mera
Toh parchaai kyun bante ho
Tum lagte nhi kuch mere
Phir bhi sab kuch lagte ho
Tum apne nhi the jab
Toh kyun apno se lagte hai
-Rohtash

-


16 JUL 2019 AT 22:44

Mai kya kahu apne yaar ke bare mai
Voh aashiq thoda badtameez kism ka hai
Log kehte hai, voh sahi nahi hai tere liye
Mai kehti hu, voh banaya gaya hi sirf mere liye hai

Yu toh voh mujhse baatein nahi karta
Par nigahon se kehta bahut kuch hai
Ye dekh rahe ho kajal meri aankhon ka
Usey pasand hai, lagaya maine isliye hai

Uski kitaab ka mehaz ek panna hu mai
Jaha shayari bankar panapti hu
Voh jo chupa raha hai dil mai apne
Mai voh mohabbat hu, jo chupaaye nhi chupti hai

Ikraar voh karega nahi
Intezar lekin mai karti hu
Voh jis khidki se ek din, ruk kar dekhega mujhe
Mai voh khidki abhi se khole rakhti hu

Uski badtameezi mai ek adaa hai
Mai jaanti hu voh mujh par fida hai
Bolega voh kuch nahi
Uski mohabbat kuch aisi hai janaab
Mera saaya bankar, voh mere liye khada hai....
Mai kya kahu mere yaar ke baare mai
Voh aashiq thoda badtameez kism ka hai
Log kehte hai voh sahi nahi hai tere liye
Mai kehti hu voh banaya gaya hi sirf mere liye hai...

-


9 JUL 2019 AT 16:51

Intezar toh bahut karti hu
Bas tu bhi kabhi khud vapas aa

-


7 JUL 2019 AT 16:52

Tumhare jhoot Mai
Khush the hum
Sach se Mile hai jabse
Toot gaye hai hum
Abhi bhi tumhe yaad karte hai
Sach kahe, toh ab bhi pyaar karte hai
Nahi acchi lagti yeh chandini humein tumhare bin
Ab toh chand bhi puchta hai
Kaha hai voh jo tujhse pyaar krta hai?

Ujalo Mai ab hosh nhi rehta
Khayalo Mai sirf tum aane lage ho
Kya kehte hai kisi ko, Kuch samjh nhi aata
Nazron ke saamne tum jo dikhte Ho
Duniya kehti hai muhhabbat ka bukhar Ho gaya hai
Mera hasta khelta voh ghar barbaad Ho gaya hai


-


Fetching Rani SINGH Quotes