Uss kali andheri raat main na jane kaise maine khudko ghar tak chodha...
Raat ka saya or safar kis mod ne mujhko kab moda...
Main to khud ko wahi kho aaya tha , jaha uss dost ke maa baap ne apna beta kho dia..
Subha hui to fir roya main chala gya fir kaam par...
Din main chakkar lagaya waha..
Jaha paya na teri laash par....
Wo shaam zehrili aaj bhi kaano main ye chillati hai...
Chal aaja ghar pe dost mere meri tabiyat bigdi jati hai....
Thoda intezar tu karleta , sale main to aana chata tha , ek aakhri martaba hi sahi mera phone to utha leta ...
Wo aakhri sath main khana or sutta yaad abhi bhi aata hai , aaj paise ni h , khane ke sath mere liye kya tu lassi magwata hai????
Smile......
Yaad hai wo party ki raat jab nashe main dono aae they , agle din dekhli halat teri , shukriya tera dost tune jaan bacha li meri..
Wo aakhri din or aakhri pal bas yaado main hi reh jate hai...
Shabdo main krdu baya shukriya tera, aise mere halat nahi....
Wo aakhri raat jab tujhko dekha tha,
Wo aakhri raat jab tujhko bulaya uth sale tab main aaya tha....
Par kamina tu sala utha nahi....
Aaj bhi kami khalti h teri....
Kambakht wo aakhri raat...
Jo le gai jaan teri.......
Kambakht wo aakhri raat....
-