Yun ajnabio se pakke dost banna,
Guwahati k har cafe mein awargardi krna,
Park mein jake couples ko chidana,
Nhi bhulungi mai,
Jab tak hai Jaan, Jab tak Jaan.
Plans bana kr bhi plans ka flop ho jana,
Ek k galti pe sabko equally daant padna,
Aur galti karne par faltu k bahane maarna,
Phir bhi dost ko maaph kr dena,
Nhi bhulungi mai,
Jab tak jaan, Jab tak jaan.
Yuhi vacations pe jane ka khayali pulao pakana,
Aur end mein kisi cafe pe hi b'dy manana,
Video call pe bakwas baatein share krna,
Aur yeh "friendship forever" wali waadein,
Nhi bhulungi mai,
Jab tak hai jaan, Jab tak hai jaan.
-