19 JUL 2017 AT 15:38

Kachre ke dher mein mrut padey navjaat shishu mein maine insaaniyat ko marte dekha hai
Ae maa iss yug mein, teri mamta ko marte dekha hai.
Log kehte hain ke shayad koi majboori hogi
Par maine teri sharm aur niswaarthta ko marte dekha hai.
Nau mahine jo tere kaleje se lipta raha
Tere apne hisse se tere rishte ko marte dekha hai.
Kaise badhaa liye kadam tuney usey chhod wahan
Tere kadmon mein padi jannat ko marte dekha hai.
Laanat hai aise dil pe jo uski cheekhon se pighla nahi
Tere aurat honey ke wajood teri rooh ko marte dekha hai.
Kisi maa ko apni sooni kokh bharne ki tadap,
To kisi ke naa chahte hue usey paane ki kismat
Ae rabb maine iss jahan mein, tere insaaf ko marte dekha hai.

- Rachna