Qamar Abbas Zaidi  
12 Followers · 8 Following

Joined 8 September 2017


Joined 8 September 2017
17 JUL 2019 AT 12:08

Living someone's dream to fulfill your needs.

-


6 MAR 2019 AT 22:56


Ye duniya , ye daulat ye shorat isse leke kaha tak jaoge tum,
Iske khatir saare rishte naate khoke tanha reh jaoge tum...
Aaj jo barbaad huye ho tum uska bhi ilzaam hampe laga dia,
Inteha ho chuki hai ab kya kabr tak hame aazmaoge tum.

-


14 DEC 2018 AT 12:19

Ek aas reh gai , reh gai ek pyaas tere jaane k baad,
Faqat in ashqon ka sahara hai teri yaad aane k baad..

-


3 AUG 2018 AT 11:37

Hai ishq agar hamse to bataya bhi karo,
Hamesha Na Sai kabhi jataya bhi karo..
Ruth k jaana to tumhe bakhoobi aata hai,
Kabhi apni zulfon k saye me sulaya bhi karo

-


13 JUL 2018 AT 12:10

Zehan ke kisi kone se aaj yaadon ka sailaab ubhar k aaya,
Us lamhe ki khamoshi ne beete huye kal ka aaina dikhaya...
Dafn the jo saare jazbaat dil ki kisi goshe me firse zinda ho liye,
Un lamhon ki aahat firse sunke ham zaar o qataar ro liye.

-


6 MAY 2018 AT 19:30

Mai akhir kya soch raha hu
Purane zakhmon ko mai firse noch raha hu..
Yaaden jo kabhi dafn thi dilke kisi goshe me,
Wo saare jazbaton ko mai kyu kharonch raha hu

-


25 APR 2018 AT 13:08

Tajarba-e-zindagi ka mai aaj ek saaz likhunga,
Tumne kitaab jo di hai usme dilke alfaaz likhunga,
Jaate huye mere saath jo tumne beimaani ki hai..
Usi kufr k qalam se tumhare fareb ka hisaab likhunga

-


18 APR 2018 AT 11:00

Maut to barhaq hai sabko jaana hai ek din,
Qabr ki aaghosh me sabko so jaana hai ek din..
Ajeeb log hai jo duniya se itni ummeed laga baithe hai,
Ghafil hai is baat se ke mitti me unhe mil jaana hai ek din.

-


8 APR 2018 AT 15:46

Apni mohabbat ka elaan ham kuch is tara karte hai,
Lamha dar lamha unki yaad me ham marte hai,
Hai ishq agar ek charaag to moam ham bante hai,
Roshan wo hote hai aur jal jal k ham marte hai.

-


20 MAR 2018 AT 14:01

Dhundta hun tuje raat ke in andheron me jaha roshni ka basera na ho..
Tham jaye ye waqt yuhi tera deedar hone tak ke is raat ka fir savera na ho..

-


Fetching Qamar Abbas Zaidi Quotes