Dear Rajasha,
Main akeli andhero mei bhatki
Kya tum roshni si banke aoge?
Meri takiye ansuo se gile
Kya tum mujhe apne godi mei sulaoge?
Meri kitaab ke panne adhure
Kya tum humari kahani likhoge?
Maine khoya apni har ek pyari chis ko
Kya phir bhi tum meri akhri kosis banoge?-
Ye dhoop chubh rahi hai papa,
Kash apka saaya mujhpe hota.
Girti reheti hu har kadam ajkal,
Kash apka hath sath hota.
Kehene ko toh log hai bohut,
Magar apke jaise kaun samhalta.
Kash ak umr leke ate ap,
Hum khali kitab le ate ak,
Apne hisse ki zindagi bhi apke nam likha hota-
Na kariye itni mohabbat humse hume adaat nahi hai,
Na kijiye mohabbat ka izhar aise hume adaat nahi hai,
Kabhi na kabhi yeh mohabbat wakt ke sathe badal jata hai janab,
Toh na hi kijiye do pal ki mohabbat humse hume adaat nahi hai-
The journey from getting you to losing you is love for me,
The journey from putting my hands on yours to caressing your pictures is love for me,
The journey to be yours even after you are gone is love for me,
The journey from getting you to losing you is love for me…-
Tumhe pane se tumhe khone tak ka safar mere liye ishq hai,
Tumhare hatho mei apna hath rakhne se tumhari tasviro mei apna hath sehlane tak ka safar mere liye ishq hai,
Tumhare jane ke baad bhi tumhari hoke rehena ka safar mere liye ishq hai,
Tumhe pane se tumhe khone tak ka safar mere liye ishq hai..-
Kuch kahani mohabbat Ki hum bhi likh sakte the,
Magar meri mohabbat toh kisi aur ki kahani ka hissa tha-
Mile hum aise ki do begharo ko ghar naseeb hui
Kuch alag hi baat thi muqaddar ki is sajish mei
Ab yeh mohabbat hai ya kya is dil ko andaza nahi
Magar ise sukoon milta hai unki maujudgi mei-
Khusiya toh puri kayanat manga karti hai
Kabhi gumo ko gale lagake dekhiye janab
Yeh kuch alag hi asar karti hai
-
Usse bichadna majboori thi meri
Aakhir majboor bhi toh usine kiya tha-
Likkhe gaye payegam kitne manane ke
E khuda kahi ungliyo se pehele dil na thak jaye-