26 AUG 2021 AT 16:42

Raahein hai mushkil toh Kya
Chalna padega

Gire jo hum raahon mein gar
Khud sambhalna padega

Haath thaam saath hamesha
Koi chalta nahi hai

Khwaab sach honge ek din
Hamein ye bhi yakeen hai

Ek - ek kadam chalkar
Ek mutthi aasman pana hai

Auro ko nahi ab
Kudh ko hi harana hai

- Khawahishon ke "Pankh"