Nigar Parween  
355 Followers · 521 Following

read more
Joined 2 March 2018


read more
Joined 2 March 2018
9 MAR AT 2:57

Maine duniya bohaut kareebi se dekhi hai
Jab apne baap ke aakho'n mein dard aur labo'n pe khamoshi chahyi dekhi hai
Ye mazboot dhikhne wale aksar ghamgin hua karte hai
Ye mard h na, isliye inke aakhein kaha nam hua karte hai
Zindagi jeena inhe kaha shikhaya jata hai
Bachpan mein laad aur jawani mein bhoj saup diya jata hai
Bebasi zaahir karna inke liye saza bann jati hai
Har sheh ko apne mard hone ki sabut kuch is tarah di jati hai
Kisi cheez mein kami na ho ye pura khayal rakhte hai
Andar hi andar khokle hote hai khud
Par apno ka bakhubi dhyaan rakhte hai
Tutt rahe hote hai khud mein par bhikharne se khauf paate hai
Azeezo ke khatir, apne sabr ko ye har pal azmaate hai
Mafaad parast log inhe bas maal o zar ka zariya samjhti hai
Inke ehsaas se bezaar aur inke ranj se ghafil hoti hai
Ye silsila yu taah umr chalta rehta hai
Inke baad bhi inki milkiyat par nazar rehta hai




-


5 MAR AT 23:55

Gham chupane ki jagah na mili
Toh chal diye hum maikhane ki taraf
Dard mando ki mehfil mein hum yu shaamil rahe
Log hume bada parast samjhte rahe

Kaise karte ranj e dil bayan
Koi humsaya jo na mila hume
Jaam ko chalkaya sheeshe mein yu
Rone wala koi kandha jo na mila hume

Daastan e dard jb logo ne pucha
Muskurane kuch yu lage phir hum
Nighaao'n mein mehboob dhikha hume
Aur lafzo se keh gye Allamdulilha phir hum

Raas na aayi kuch meri baatein unhe
Toh muskurane ka sabab puchte rahe
Aankho'n mein meri tadap dekhte rahe
Aur taskara khud hi aapas mein karte rahe

Ek aashiq ko jalte dekh unhe
Apne gham ki shiddat kam lagi
Meri bebasi par wo bhi ro pade
Meri kahani sunn kar wo dang rahe

-


29 FEB AT 1:22

Kuch bebaak si thi wo ladki
Jo sehem jaati thi uske aahat se
Diler toh bohaut thi magar par nazuk pad jati thi uske aagosh mein
Nazrein churaya karti thi aise jaise bekhabar ho wo uske wajood se
Mukhatib aise hoti thi wo, jaise uske siwa dusra koi usey na dhikhe
Chanchal toh bohaut thi par ghamghin kayi zyada thi
Hasi mein dard chupaye, keh jaati thi baatein saari aankhon se
Uske ujde duniya mein ek sukoon ka hissedar tha wo
Uske mann ki uljhano mein ek rahat bhara khumar tha wo
Tanhai se mohabbat usey beshak hua krti thi
Par uske bina uski tanhai bhi kuch adhuri lagti thi
Haasil ki aas toh dil mein khi na thi, par furqat ke darr se wo sunn pad jati thi
Mil k bhi na mila usey kuch aisi uski badnaseebi thi
Bas uski hokar reh gayi wo ye uski Khushnaseebi thi




-


27 FEB AT 20:57

Khoobsurato ko laakh chahne wale mil jaate hai
Khoobseerat ho koi toh qadar kaha hoti hai
Jab tarasha jata hai husn walo ki seerat
Aksar wo zeher malum hote hai
Tab phir bichde huye yaar ki talab hoti h
Mumkin hai ke kirdaar aala tareen ho unka
Par ana parast wo kuch malum hote hai
Saare thode hi dariyadil hote hai
Kuch magroor toh kuch khud mein markaz hote hai
Jo shafaqat mein gani hai wo zyada hi kuch bezaar rehta hai
Khudki ahmiyat se mehroom aur khudke taqdeer se laachar rehta hai
Apne mustanad hone ki daleel wo chahne walo ko deta rehta hai
Log thehre farzi unhe asliyat raas kaha aata hai
Jab paate hai khudko shikast wo toh hulchul kuch aisi unhe machti hai
Neymat ko gawane ki nadamat reh jaati hai
Aur haasil pe din raat unki aakhein barasti hai




-


20 JAN AT 19:20

Tum mehboob na sahi
Toh chalo hum tumhare yaar hojate hai
Tum mehboob na sahi
Toh chalo hum tumhare yaar hojate hai
Is rasm e mohabbat ki mehfil se hum dast-bardar hojate hai

Kho kar mujhe tum beshaq sukoon ikhtiyar karloge
Kho kar mujhe tum beshaq sukoon ikhtiyar kar loge
Neend na aayegi jb tumhe
Na chahte huye bhi tum mujhe yaad karloge

Pehlu chudhaa kar mera chal doge tum bade fursat se
Pehlu chudhaa kar mera chal doge tum bade fursat se
Jab aayegi kbhi mushkil tmhare saamne
Toh fariyaad kar uthoge tum meri apne Rabb se

-


1 NOV 2023 AT 14:42


Riwaaz e zindagi kuch yu nibha rhe hai
Apne armaano ka har roz hum janaza utha rhe hai
Log kehte hai sabr karo jo jaa chuka hai
Jo khud hi apne sabr ko har lamha aazma rhe hai
Phir kehte hai shukr karo jo mil gya hai
Aur apne hi faisle pe khud mutmayin na ho parhe hai
Ajeeb si paheli hum har baar suljha rhe hai
Kise apna kahe ya begana is uljhan mein khudko raat din jala rhe hai
Wafa ki bhi tijarat hoti hai faraiz ke bazaar mein
Kharid o farokth chalta hai in rasmo ke meyaar mein
Dafna na padta hai har wo tamanna dil mein
Jiski mukammal ki chah mein khudko hm mehfilo mein zinda bata rhe hai

-


1 NOV 2023 AT 11:24

Kisi ko waqt ne badla toh
Kisiko halaat ne badla
Koi apne sahuliyat se badla toh
Koi majburiyo se badla
Kisi ka nazariya badla
Toh phir kisika jazbaat badla
Har mod pe log badle
Har kadam unka badla
Aaj mein jeene waale kal ki fikr kaha karte hai
Jo kal ki fikr kare wo tanha hmesha reh jaate hai
Zindagi ki daud musalsal chalti chali jaati hai
Haadse kayi hote hai phir nayi manzil mil jaati h
Baaton ki ahmiyat bas us lamhe tak hi paband rehti hai
Jab tm Jaa chuke hote ho toh baatein bhi bhulayi di jaati hai
Wehem ki zindagi aksar khoobsurat malum hoti hai
Phir haqeeqat ki taalim tumhe khoob ache se shikhayi jaati hai
Kuch aise hi apna rasta mod liya jata hai
Jo jiska na ho usey chodh diya jata hai

-


21 OCT 2023 AT 23:36

Halato se ladte ladte hm itna thak gye ki
Apne imaan ki takat se hi mehroom hogye
Rab ki neymato ko yu nazar andaaz kar gye
Jaise gham ke badal saare mere hi sar aagye
Kabhi hum ro liye toh kabhi hum cheek uthe
Aziyat mein mashgool hum kitna bebas hogye
Madad ki talab kuch yu hume satane lagi
Ki apne raqeeb se bhi hum wabasta hogye
Apne hi dheere dheere paraye lagte gye
Aur phir paraye bhi kuch is tarah hmse bezaar hogye
Kashmakash aur laachari ne hume is tarah jakda
Jaise koi sehatyab insaan zehni beemar hogye
Mehfilo se nafrat hone lagi aur tanhai bhi andar hi andar khane lagi
Zinda kehne ko bas rehne lage aur chahat jeene ki marne lagi
Bhikre wajood se hume ghuttan hone lagi
Izzat e nafs bhi kahi lapata hogyi
Rab ko phir maine bade dil aazari se pukara
Toh sabr ki keemat mujhe samjh aane lagi


-


21 OCT 2023 AT 2:00


Tamanna e khaam kuch aisi reh gayi hai
Mushtaq e deedar bhi ab machal si gayi hai
Pas e parda kar wo kuch aise bhaithe hai
Visal e yaar bhi ab adhuri reh gayi hai


-


1 SEP 2023 AT 21:10

Kuch yu hua ki hum guneghar hogye
Apno ke hi izzat ke hm pehredaar hogye
Jazbaato se talluq hume rakhna na shikhaya
Lekin hume inhone apna farmabardar banaya
Duniya hume badi mukhtasar dhikhaya
Phir pinjde mein kaid kar khoob laad jataya
Aasu jo aaye toh katghare mein khada karaya
Sawalat ke bochar humpe khoob jam ke barsaya
Tanhai mein jeene se pabandiya lagaya
Aur phir mehfilo mein bhi hume akela mehsoos karwaya
Zeb o zeenat aur maal o daulat se bharpur sajaya
Ranj e Dil ki tadap ko jhooti shohrat ke aad mein dabaya
Ishq e Haqeeqi ka ilm kabhi na padhaya
Par khauf e zamana dil mein khoob rach rach ke basaya
Nighaein nichi aur awaz dheemi ka bakhubi sabak shikhaya
Par nafs se ladna kisine thodi bataya
Zarra zarra shauq ko hamari puri karaya
Dili chahat se kuch is tarah hume mehroom rakhwaya





-


Fetching Nigar Parween Quotes