Mai Kyu nahi?
Kiya Ye sawaal tha usne,
Nam Aankhe liye,
Ruka tha jawaab ko mere.
Naa smje lafz tb kehne ko kuch,
Mayus Nazro ne bs Kia tha afsos vaha.
Socha kahi baar humne b ye,
Kahe usse ki Pyar hogaya tumse.
Roka har baar dar ne khone ka usko,
Kaha pata tha kho hi denge bin Kahe b kisi din is rishte ko.
Wo Kyu nahi?
Nahi Mila jawaab is sawaal ka,
Naa Mili koyi vajah Rukne ki uski,
Jaate dekha jb tha usko,
Mann thoda bechain sa tha tb,
Gya tha wo Sab chodke,
Magar laga jaise Sab le gaya wo shaqs.
-