24 NOV 2017 AT 2:10

Kisi din yun teri talaash bhi ki hai
Kisi din to tujhko khoya hai paa kar
Kisi din to tujhko socha hi nahi hai
Kisi din yaadon me piroya hai laa kar
Kisi din dil khud me bewajah sa khush h
Kisi din tanhayee me roya hai jaa kar
Kisi din to toda hai jaisa sapna adhoora
Kisi din to sach me sanjoya hai aaa kar
Kisi din dafan teri saari hasrat h kar di
Kisi din to fulon sa boya hai laa kar...
Kisi din yun teri talaash bhi ki hai
Kisi din to tujhko khoya hai paa kar

- MAYank