Kapildev Verma   (©Kammando)
924 Followers · 844 Following

read more
Joined 18 October 2017


read more
Joined 18 October 2017
25 FEB 2021 AT 0:05

Kisi Ko Kisi Ka Banaya
Jo Kabhi Na Tha Use Khuda Banaya

Hum ne Galti Pehli Ye Ki
Ki Mohobbat Ko Insaan Banaya

Jis Dil Me Mehboob Ki Yadein thi
Dil-E-Daag Daar Ko Uski Kabr Banaya

Shamshaan Banaaye Har Raste
Humne Momeenò Ko Hi Kufr Banaya

Kya Bigaada Kya Kya Sajaya
Ye Pooche Ki Aakhir Aisa Kya Banaya

Masjiden Banaayi Chaar Minaaron Waali
Jinko Bahar Bithaya Unko Faqeer Banaya

-


7 FEB 2021 AT 20:38

Chaahton Ko Sharm Yakeenan Nahi Aayi He.
Jo Sochte The Hum Woh Soch Khatm Ho Aayi He.

Kahin Door Kisi Thande Sheher Ke Bashinde Hain Woh

Unki Seher Abhi Tak Huyi Nahi Hai,
Aur Hamari Shaam Hone Ko Aayi Hai.




-


31 MAY 2020 AT 0:22

Nazar Me Rehte Ho Tum
Par Hum Benazar Rehte Hen.
Jaan-e-Adaa,
Aajkal Kuch Iss Kadar
Hum Bekaar Rehte Hen.

-


10 MAR 2020 AT 19:28


-Kammando

-


8 MAR 2020 AT 0:02

Tanhaai Mein Fariyaad Toh Kar Sakta Hun
Viraane Ko Aabaad Toh Kar Sakta Hun
Jabh Chaahun Tujhe Mil Nahi Sakta Lekin
Jabh Chaahu Tujhe Yaad Toh Kar Sakta Hun.....

Koi Hanse Toh Tujhe Gam Lage
Hasi Naa Lage
Ki Dil Lagi Bhi Tere Dil Ko Dil Lagi Na Lage
Tu Roz Royaa Kare Uth Ke Chaand Raaton Mein
Khuda Kare Tera Mere Bagair Jee Na Lage......





- Ustaad' Nusrat Fateh Ali Khaan

-


13 FEB 2020 AT 23:51

Woh Shehar Unka
Unki Sir Zameen Par
Jabh Hamaari Mulaqaat Unse Huyi

Baahen Khol Khade The Woh
Unki Aagosh Se Lipte
Toh Lagaa WaaKayi Kya Seher Huyi

Seene Pe Sir Rakh Dhadkan Ko Sunte
Maano Jaise Dil Ne Kahaa Ho Mohobbat
Shayad Unko Qabool Huyi

Naseehat Di Unko Jinke Haq Me Koi Nahi
Tarafdaar Ishq Hamaara Bana
Hamaari Waah Kya Naseeb Huyi

-


10 FEB 2020 AT 21:52

Siyaasat Ke Kandhon Par
Chalaa Rahe Hen Mulq

Ye Jaante Nahi
Ki Ye Desh Inqalaab Par Chalta He.




-


23 JAN 2020 AT 23:23

Jism Pe
Rehti He Tu
Koi Itr Jaise . . .

Lehlahaati
Tu Fizaa Me
Na Koi Bhi Fiqr Jaise . . .
 
He Ba-Khoobi
Likhi Daastaan
Tu He Koi Ziqr Jaise . . .

Rakh Guroor
Mujhe Kar De Door
Bana Mujhe Teri Kabr Jaise . . .

-


13 JAN 2020 AT 20:26

And if Travel is like Love, it is, in the End,
mostly because it's heightened state of awareness,
in which we are mindful, receptive, undimmed by familiarity and ready to be transformed.
That is why the best trips
like the best love affairs, never really end.

-


11 JAN 2020 AT 23:44

Afsos Ki Zindagi Guzare Jaa Rahi He,

Pee Li He Sharaab Chadhti Jaa Rahi He.

Yun Toh Kisi Aur Ke Bistar Par Lete Hen,

Par Yaad Firr Us Hi Ki Aaa Rahi He.

-


Fetching Kapildev Verma Quotes