Kamal Prajapati   (kamal)
404 Followers · 62 Following

Bas ek khwaab, or baaki sab kuch keemat....
Joined 2 October 2017


Bas ek khwaab, or baaki sab kuch keemat....
Joined 2 October 2017
12 OCT 2023 AT 1:02

Haath thama hai to sath bhi nibhaunga
Waqt abhi khrab hai to kya
Mae acha waqt bhi launga

Tere kaabil nhi hun ye jaanta hn mae
Par tere kaabil zrur ban jaunga

-


12 OCT 2023 AT 0:48

Jo yha hua , wo shayd kahi or bhi hua
Wo khush the apni muqadar ko lekar
Hum the to bas ek jariya

Wo dil se khelte rahe
Hum bas unhe apna apna kahte rhe
Hum sab kuch unhe maan baithe the
Or wo kuch or hi paane ki chaah me kahi or jaa rhe the

Jaate jaate bhi unhe khel hi khelna tha
Hum ro rhe the or wo apna kaam yaad dila rhe the

Suna kuch aisa zohrajabeen me
Has pade usme kuch aisa hua

Jo yha hua , wo shayd kahi or bhi hua

-


24 JUL 2023 AT 20:19

Yun naaraz hoke hume naa sataya kar
Yun to aasaman me sitare hai bahut
Apni muskan se meri zindagi tu roshan kar dia kar

Tera yun ruthna acha nhi lgta
Tera yun khamosh rahna acha nhi lagta….

-


4 JUL 2023 AT 21:31

Mahine pahle khud ko hi kaid kar aaya tha teri baaho me
Mahine pahle naam kar aaya tha in dhadkano ko tere
Sauda kar aaya tha in saanso ka tere sath jeene ko
Mahine pahle in lakeero me tera naam likh aaya tha

Teri khusbhu teri baatein, wo teri garm garm si saanse
Tere zulfon ka bikhrna, teri dhadkno ko badna
Teri aankho ka jhukna tere hotho ka chumna
Roj tere gahno ka tutna
Kuch aisa hi hua tha
Mahine pahle …. …

-


20 JUN 2023 AT 11:21

Ishq chupaae nahi chhupta
Or dikhawe ka ishq ishq nahi hota
Yun to pyar mohabbat ki baatein sab karte hai
Par har kisi ke bas me ishq karna nahi hota

Ye sauda hai dilo ka
Ye sauda hai saanso ka
Yun to kaanto ke sang phool bhi khilta hai
Par kaanto ka phoolo se koi rishta nahi hota

Ishq hota agar pura
To bas channd dino me yun zaya nahi hota….

-


18 JUN 2023 AT 22:14

Kaisa ye safar hai
Mera humsafar hi sath nahi hai
Kaisi ye duri hai tere mere darmayan
Jo ab tak kam nhi hui hai

Teri saanso ki khushbu jaa nahi rahi hai
Teri wo bachkaani harkte bhulti nahi hai
Teri wo subah hi muskan, tera wo subah sa khilta chehra kabhi dhalta nahi hai

Tu dur hai ab bhi
Mere pas kyun nahi hai
Meri baahen khuli hai tujhe inme bharne ko
Tu in baahon me aati kyun nahi hai

Aaja tu jaldi se
Teri yaad mujhe jeene nahi deti hai

Yun to mae thoda bura hai teri nazar me
Par is dil me bhut pyar hai tere liye tu dekhti kyun nhi hai

-


18 APR 2023 AT 17:27

Logo ki nazar me kuch nayaa nhi hota
Purana to har chij ho hi jata hai
Shuru shuru me hoti hai aadat us naye chij ke sath rahne ki
Fir ye adaton ka kya hai
Ye to badal hi jata hai

Dil ka bhi khel kuch aisa hai
Waqt ke sath dil bhar hi jataa hai
Ishq mohabbat jeene marne ki baatein
Ye to bas baato baato me hi simat jata hai
Wo kahte the kabhi , unse ek pal bhi nahi rha jaata hai
Ab to bina ek pal bhi yaad kiye unka pura din nikal jata hai
Haal kuch aisa hai
Har nayaa chij purana ho hi jata hai….

-


13 APR 2023 AT 12:45

Ye berukhi thik nhi hai
Ye khamoshi thik nahi hai
Tera yun naa muskurana thik nahi hai

Tujhe khush dekhne ko taraste hai hum
Hume yun or tarsana thik nahi hai
Kabhi baarish kabhi badal
Kabhi teri zulfon ke chhaon jeena hai humko
Bas tera yun uth ke chale jana thik nahi hai

Dil me idhr bhi utni mohabbat hai
Jitni tujhko humse hai
Akele hi nahi hai tu is dhage se bandi
Ek dor humne bhi pakad rakhi hai
Tera yun chhod ke jana bhi thik nahi hai

Toofan ke darr se jyot naa jalana bhi thik nhi hai…

-


6 APR 2023 AT 20:21

Ye teri zulfein yun bikhri hui hai
Dil ki dhadkne thami si hai
Naa jaa kab khtam hoga ye intzaar
Milne ki ghadi itni lambi kyun hai..

-


14 JAN 2023 AT 11:36

To kya yeh teh hai tujhe umr bhar nahi milna
Kya mein ye samjhu ki mujhe tujh bin hi hai jeena

Kya ab nhi rha tere dil me wo khwab jo kabhi
Naa tere the tha mere the bas wo humare the
Tujhe bhulaun bhi to kaise
Tere diye zakhm dil par hai itne gahre
Teri yaadein kured deti hai aksar unhe
Bharne se pahle

Tune kiye the wade, sath na chhodne ke, marne se pahle
To kya mein ye samjhu ki tu mujhse mila hi nhi khone se pahle…

-


Fetching Kamal Prajapati Quotes