Javed Akhtar   (Javie)
30 Followers · 3 Following

17 JAN 2022 AT 22:29

Hai dikhawa sab ki dil se ab main muskurata nahin hoon..

Chalta hai bahot kuch andar kya hua jo ab batata nahi hoon..

Rakhte ho khabar meri ab bhi yeh maloom hai mujhko..

Hai mauke dhero par unhe main bhunata nahin hoon..

-


16 JAN 2022 AT 22:34

Awaaz main ab kisiko deta nahin hoon..

Ki jaane waale toh har haal me jaate hain..

-


17 NOV 2021 AT 21:22

Ek roz guzrunga apne maazi ke raaste se..
Karna hai kuch masle thik bilkul ahiste se..

-


2 OCT 2021 AT 20:17

Jo aaye wo kabhi door jaaye naa..

Reet koi aisi bhi toh banaye naa..

-


2 OCT 2021 AT 20:16

Rahoon kitna bhi masroof par tumse zara bhi gaafil nahin..

Ek aisa lamha nahi guzarta jisme tum mujhme shamil nahin..

-


4 SEP 2021 AT 23:44

Jo pucha usse haal toh kaha usne sab theek hi hai..

Jab nigahein mili toh usme toota aks dekha uska..

-


29 AUG 2021 AT 9:02

Kuch toh hoga khaas tum mein yeh kaise bataun tumhe..

Tumhare laakh mana karne pe bhi talab bas tumhari hai..

-


22 AUG 2021 AT 15:20

Suna tha ki thand toh bas ek mausam hai kuch mahino me beet jaata hai..

Barf ki partein hai kuch dilon me khuda jaane insaan kaise seet jaata hai..

Seet = Cold

-


19 AUG 2021 AT 23:52

Bas yahi kehna hai tujhse ae mere ilaahi..
Hai tere haath me hi yeh saari baadshahi..
Jo chahe tu toh palat de sab kuch pal bhar me hi..
Likh meri kismat jis kalam ki chamakti ho syahi..

-


18 AUG 2021 AT 23:09

Dua hai rab se ki kabhi toh wo shaam aaye..
Dua jo karta hun din raat wo hi mere kaam aaye..
Rahen mujhse khafa wo jitna dil kare unka..
Jab ho zarurat zehn me sabse pehle mera naam aaye..

-


Fetching Javed Akhtar Quotes