Jabbar Alam khan   (Smoky Thoughts)
368 Followers · 500 Following

read more
Joined 13 October 2017


read more
Joined 13 October 2017
13 SEP 2023 AT 13:56

Chhu ke jo guzar jaye, wo mast lehr’on sa mai
Dil’on ko jalakar roshan hue charagh’on sa mai
Mai sang dil hoon, raasta badalte rehta hoon
Jo kabhi haqeeqat nahi hote, un sarab’on sa mai

-


11 JUN 2023 AT 15:30

Na khidki na koi darwaza nazar aata hai yahaan
Ainak ke beghair kitna dhundhla hai mera jahaan

-


5 JUN 2023 AT 13:17

mai tanhayi me aksar tujhko apne qisse sunaata hoon
sonchkar tera radd-o-amal, mai bhi muskuraata hoon

-


5 JUN 2023 AT 13:03

lutf leta hoon ab ye zindagi ke safar se mai
dekhta jo hoon dunya ab teri nazar se mai

-


5 JUN 2023 AT 13:01

har mausam me teri aaghosh me sukoon paaya hai
jaise karhi dhoop hai aur ghanay perh ka saaya hai

-


29 MAY 2023 AT 23:16

Ye hazaaro haste hue chehre,
tera bas muskurana ek taraf

Kaii haath milte hai subh o shaam
Tujhse nazar milaana ek taraf

Ye dunya bhar ki rangeeniya,
Nazar tujhe talaashe chau taraf

-


29 MAY 2023 AT 16:49

reh reh kar tumko meri yaad nahi aati kya
ya raqeeb jaisi mujhme baat nahi aati kya

kyun bewajah darte ho shor barpa hone se
mai aata hoon to khamoshi saath nahi aati kya

roz raat ko tumhari yaad'on ka din nikalta hai
ab tumhaare din'on me koi raat nahi aati kya

hum ghar se lage, na kaam se lage na kaaj se
achha ye bataao, ishq ko maut nahi aati kya

-


29 MAY 2023 AT 14:55

sannaati raat'on me viraane jab hote hai abaad
dil ke sandoq'on se teri yaadein hoti hai azaad
aatish-e-ulfath ke shol'on me hum jal jal kar
Qist’on me hote hai lamha dar lamha barbaad

-


29 MAY 2023 AT 0:28

ye bechaini Ek baar ki baat nahi
Asaani se kati ho aisi koi raat nahi
Teri hasi, teri baatein, tera mujhko sataana
In sab ko bhuljau, aisi meri zaat nahi

-


13 MAR 2023 AT 0:06

Ab kya qabar hai ke kis kis ki qabar rakhta hoon mai
Chhote se dil me tanhaio ka sheher rakhta hoon mai
Zindagi, tera hisaab har peher rakhta hoon mai
Ye dil laut na jaaye, saath zeher rakhta hoon mai

-


Fetching Jabbar Alam khan Quotes