Isha Rai   (Isha)
50 Followers · 49 Following

Joined 17 September 2017


Joined 17 September 2017
14 NOV 2020 AT 3:10

ये मोहब्बत की शक्सियत भी कमाल है यार,
जब ये होती है तब या तो वक्त गलत होता है,
या जिससे होती है वो शक्स गलत होता है।।

-


17 JUL 2020 AT 2:03

Duaaon mein manga tujhe janmo ke sath ke liye,
roothe na tu mujhse kabhi kisi bhi wajah ke liye!
Zindagi bas tere sath bitaane ki meri ardaas thi,
teri bas ek muskurahat meri zindagi ka saaz thi!
Mohabbat mein teri khud ko bhula chuki thi main,
anjaane mein apni khwahishein jala chuki thi main!
Par shayad galat tha faisla mera tere sath rehne ka,
ya shayad galat tha tareeka mera khuda se ye kehne ka!
Hum shayad bane hi nahi hain ek dusre ke liye,
shayad isiliye muh mod lena asaan tha tere liye!
Tabhi tu samajh na paya ruth ke kyu gayi thi main,
tere door jaane par bhi khamosh kyu rahi thi main!

-


16 JUL 2020 AT 1:28

Ishq bhale hi mukammal na hua mera,
par yaadon mein shaamil vo aaj bhi hai!
Meri zindagi ka hissa vo bhale hi na raha,
par duaon mein shaamil vo aaj bhi hai!
Yaadein mit'ti nahi mehez tasveerein mita dene se,
uska vo hasta hua chehra nazar mein aaj bhi hai!
Magar ab saath rehne ki tamanna nahi hai dil mein,
uska vo berukha bartaav mujhe yaad aaj bhi hai!
Mangti hu aj bhi har pal uski khushi ibaadat mein,
Hum door bhale hi hain par mohabbat aaj bhi hai!

-


6 JUL 2020 AT 3:29

Saansein tab bhi ruk jati thi jab tu mere kareeb aata tha,
aur ab bhi ruk jati hain jab tu bahut door chala gaya hai!
Dhadkane tab bhi badh jati thi jab tu mera naam pukaarta tha,
aur ab bhi badh jati hain jab teri awaaz kaano tak nahi pahunchti!
Fark bas itna hai ki tab dil mein pyaara sa music bajta tha,
aur ab tu mera nahi hai ye soch kar rooh kaamp jati hai!
Fark bas itna hai ki tab tujh par mera tujhse zyada haq tha,
aur aaj maine khud teri tasveer tak apne dil se mita di hai!

-


3 JUL 2020 AT 3:24

Zindagi kadhwi ho jaye to
har kadhwi cheez achhi lagti hai,
rishte-naate, dost-yaar sab jhuthe,
sirf kalam sacchi lagti hai!
Ye kalam hi to hai jo
mujhse kabhi khafa hoti nahi,
ek yahi hai jo mere aansuon par
kabhi hasti nahi!
Dil ke zakhm naasoor ban jaye
aisa ye kabhi hone nahi deti,
meri cheekhein bhi sunti hai aur
awaaz bhi hone nahi deti!

-


28 JUN 2020 AT 4:22

Faansle to bahut hain tere mere darmiyaan,
par tere liye meri mohabbat kam nahi hoti,
Naa jaane waqt ka konsa mod hai ye,
tu paas nahi fir bhi main tujhse door nahi hoti!

-


27 JUN 2020 AT 2:23

Dard aksar insaan ko bahut badal deta hai,
bebaak bolne wale ko bhi chup kara deta hai!
Raste aur manzilein bhi badal jaya karte hain,
bedhadak jeene wale bhi sehem jaya karte hain!
Rang jo the suhaane, begane se fir lagte hain,
apne ho ya paraaye, sab khatakne lagte hain!
Dil ki dhadkane aksar tham jaya karti hain,
saansein bhi to sath chhod jaya karti hain!
Waqt ho ya log kabhi ek jaise nahi rehte,
kabhi bekhauf hasate hain, kabhi rula jaya karte hain!

-


25 JUN 2020 AT 4:38

Zindagi ka kissa bhi ajeeb hai,
jo sochte hain vo hota nahin,
hota hai jo vo kabhi socha nahin!
Ek se dusri taar kuch yun jud jati hai,
jaise kisi ne pehle hi sab likha hai kahin,
aur fir kadam jaise khud chal de wahin!
Is safar mein kuch rishte toot jate hain,
to kabhi kuch naye jud bhi jaate hain,
par fir bhi ek kami si reh jati hai kahin!
Vo khalipan jo koi bhar nahi pata hai,
vo lamhein jo koi jhuthla nahi pata hai,
dil ka sukoon uda le jate hain kahin!
Aankhein nam hokar reh jati hain,
bheed mein bhi tanhayee satati hai,
aur tohfe mein de jati hai raatein andheri!

-


9 JUN 2020 AT 3:29

Vo ek tasveer dhundhli si,
jo man me sambhal rakhi thi,
aj lagta hai gum ho gayi kahin,
jo poori duniya se chhupa rakhi thi!
Vo tasveer jisme hum sath the,
tere haathon me mere hath the,
duniya ki sacchaiyon se door,
hum khud mein hi bebaak the!
Vo yaadein jo humne saath banayi,
jinhe saath jeene ka tune vaada kiya tha,
umra bhar saath dene ki jo kasam khayi,
kabhi hath na chhodne ka jo daava kiya tha!
Jin vaado ko sach man ke main jeeti thi,
aaj vahi vaade mera mazaak uda rahe hain,
vo tasveer jo kabhi bilkul saaf hua karti thi,
aj uske hi nishaan mit te jaa rahe hain!

-


8 JUN 2020 AT 15:52

Yaadon ki fitrat bhi ajeeb hai, janab,
ye kabhi akele nahi aati!
Kitna bhi bhulaane ki koshish karo,
ye kabhi peechha nahi chhodti!
Dard ho ya aansoo,
dono hi iske humsaaye hain!
Haseen ho ya gumgeen,
ye aankhon ko nam kar hi jati hain!!

-


Fetching Isha Rai Quotes