Ek ek karke saari khushiya'n cheen lete hai , aur kehte hai afsos me rehkar baatein na kiya karo.
Har baar dil ko maarna padta hai, aur kehte hai, khush raha karo.-
I love to write the truth instead of myth.
Ia... read more
Pabandiyo ko hifazat ka naam dekar, khushiyo ko maarna khoob jaante hai vo.
Agar bharosa nahi tha to saaf keh dete,
Baato'n me fasa kar hame harana jaante hai vo.-
Unhe lagta hai, ham unki farmabardai karte hai to unhe apna malik samjhte hai.
Unke liye ye jaan lena zaroori hai, gulaami to hamne apne baap ki bhi nahi kari.-
Khwaab toot'te hai, ummeede'in toot'ti hai,
Yaha kaleja fat jata hai,
Aur unhe bhanak tak nhi lagti, kaise ?-
Unki wafao'n ka bhi kya kehna,
Hamne bhi seekh liya h sehna,
Agar meri kismat se unka ek message bhi aa gaya,
To puchte hai kya khana ban gaya ?
Kya ab meri khairiyat ki fikr khatm ho gyi hai?
Kya ab meri yaad aani band ho gayi hai?
Unhe dekhe bina to hamara dil adhura sa hai.
Ham unhe kya kahe, unhe to apna chehra dikhana bhi gavara na hai.
-
Khwahishein
Apni khwahisho'n ki qurbani dena mohabbat ban gayi hai,
Ab aese hi zindagi jeena aadat ban gayi hai.
Pata nhi log khud ko ucha kyu dikhte hai,
Mujhe to ab uchaai se nafrat ho gayi hai.
Jiske sahare jeene ki ummeed lagate hai,
Usi ke haatho ab marne ki shikayat ho gayi hai.-
Vo mulakaat nahi ek bura khwaab ban Gaya.
Vo mulakaat nahi ek bura khwaab ban Gaya
Humne ishq kya kiya
Ye to jaan ka azaab ban Gaya.-