Jhuth chilla raha tha Sach chup chap khada tha Chilla chilla kar dohraya gaya jhuth logo ko sach lagne laga Sach intajar me tha Puche to wo bhi batata apne hisse ka kissa Par kaliyug ka daur aisa Ki jhuth ka bol bala chala Aur sach ko apne sach ka praman manga gaya Wo chilla na saka Usne sanyam rakha Par nichi harkat karnewale ki aawaj thahri uchi Fir kya bina sach ki baju jane jhuth ko man liya sachi
Ek dafa puchhte to sahi Sach ke hisse ki kahani To kabhi na chalne dete wo jhuth ki manmani Insan ke libaas me ghum raha shaitan Uske kehne pe huyi limam achchai aur sachchai khule aam